Saturday, September 08, 2007

Ajab pagal si larki hai
mujhay har khat main likhti hai….
“Mujhay tum yaad kartay ho?
Tumhain main yaad aati hoon?
Mairi baatain satati hain?
Mairi neendain jagati hain?
Mairi aankhain rulati hain?
December ki sunehri dhoop main ab bhi tehaltay ho?
Kisi khamoosh rastay say,
koi awaaz aati hai?
Thatharti sard raatoon main,
tum ab bhi chut pay jatay ho?
Falak kay sab sitaroon ko,
mairi baatain sunatay ho?
Kitaboon say tumharay ishq main koi kami aai?
Ya mairi yaad ki shid’dat say aankhoon main nami aai?”

Ajab pagal si larki hai
mujhay har khat main likhti hai.

Jawabun usko likhta hoon….
“Mairi masroofiyat daikho, subah say shaam office main
chiraagh-e-umr jalta hai!
phir uskay baad duniya ki
kai majbooriyaan paoon main bairi daal rakhti hain,
mujhay bay-fikr, chahat say bharay sapnay nahi dikhtay
tehalnay, jagnay, ronay ki mohlat hi nahi milti,
sitaroon say milay arsa howa, naraz hoon shayad!
kitaboon say shaguf maira abhi waisay hi qaem hai
farq itna para hai, ab unhain arsay main parhta hoon.
tumhain kis nay kaha pagli, tumhain main yaad karta hoon?

Main khud ko bhoolnay ki musalsal justujoo main hoon
tumhain na yaad anay ki musalsal justujoo main hoon
magar yeh justujoo mairi bohut na-kaam rehti hai,
mairay din raat main ab bhi tumhari shaam rehti hai,
mairay lafzoon ki har ik maala tumharay naam rehti hai,
tumhain kis nay kaha pagli, tumhain main yaad karta hoon?

purani baat hai jo loog aksar gungunatay hain,
‘Unhain hum yaad kartay hain, jinhain hum bhool jatay hain!’
ajab pagal si larki ho,
mairi masroofiyat daikho!
tumahain dil say bhulaoon to, tumhari yaad aiy na
tumhain dil say bhulanay ki mujhay fursat nahi milti,
aur is masroof jeevan main
tumharay khat ka ik jumla,
“Tumhain main yaad aati hoon ?”
mairi chahat ki shid’dat main kami honay nahi daita
bohut raatain jagata hai, mujhay sonay nahi daita!
Suno, agli baar apnay khat main yeh jumla nahi likhna.”

Ajab pagal si larki hai mujhay phir bhi yeh likhti hai
“Mujhay tum yaad kartay ho? Tumhain main yaad aati hoon?”

Sunday, September 02, 2007

nashaa donon mein hai saaqii mujhe Gam de yaa sharaab
mai bhii pii jaatii hai aansuu bhii piye jaate hain

Naam Maira Na Poocha Ker Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon
Main Terey Khwab Ka Haasil Hoon Main Teri Neend Ka Hissa Hoon !

yhi to farq ha shma mn or parvanay mn
woh aag m sulagti rhy or woh ishq ki aag mn

Na bhoolay ga waqt-e-rukhsat kisi ka
mujhey mur ke phir ik nazar daikh lena

Ab Mulaqat Mein Woh Garmai Jazbaat Kahan
Ab To Rakhne Woh Muhabbat Ka Bhram Aate Hain

Ye Hum Say Na Hogaa Ke Kisi Eik Ko Chaahein
Aye Ishq! Humaari Na Tere Saath Bane Gi !