Friday, May 18, 2007

Izhaar karke to koi bhi khush rehta hai,
Ishq ko dil mein chupa kar khush raho to koi baat hai..

phir meri aankheyn ho gayee nam-naak
phir kisi ne mizaaj poocha he .. .. !!

qasid k aatey aatey khat ik aur likh rakhoon
me jaanta hoon jo wo likheyn ge jawaab mein

apney to hont bhi na hiley un k roobaroo
ranjish ki wejah meer wo kia bat ho gaee

Yeh mukafatay amal hai abhe kuch arsay mai
tujhay bhi ho ge muhabbat kisi badzaat kay sath

Zindagi Kis Terha Basar Hogi
Jee Nahi Lag Raha Muhabbat Mein

hey piyar ki basti main darindon ki hukomat
sooli pe charha detay hain ilzaam say pahlay

Lagta hay apni uljhnain kuch or berh jain gi
Aaj hamain phir kisi ki saadgi achi lagi

EK BAR TUJHY AKAL NE CHAHAA THA BHULANA...
SOO BAR JANOON NE TERE TASWEER DEKHA DI

Ghum yeh nahi k wo bhool gaya mujh ko
Ghum tu yeh hai k roo roo k bhoolaya ho ga

Mohabbat to thi kisi or say usay shayed
Hum say to yun hi hansi mazak rekhta tha

Friday, May 04, 2007

TU RANGOON K INTEKHAB MAIN MASROOF HAI OR IDHER...
KOI TERY JANOON MAIN SIYAAH POOSH HO GAYA

usey faraz ager dukh na tha bicherrne ka
to kiun wo door talak dekhta raha mujh ko

Rahay Ga Saath Tera Pyaar Zindagi Ban key
Yeh aur Baat hai Meri Zindagi Wafa na Karay

tujhe bhoolna awal to dastaras main nahin
aur jo ikhtiyaar bhi hota to kya bhoola dete?

Jab itnii bewafaai par dil usko chaahta hai,
to yaa rab woh sitamgar baa wafaa hota to kya hota

Uff Yeh Yaadon Ka Tasalsul, Yeh Khayalon Ka Hajoom
Cheen Li Aap Ney Mujh Sey Meri Tanhaai Bhi

Ragon Mein Dorte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahu Kya Hai

poocha jo kisee nay bulbul say dard ka illaj ....
giree shakh e nazuk say tarpee tarap kay mar gaee

Meray KHUDA mujhe tabeer ki takat day day
MEin nay kisi shakhs ko khawab dekha rakhay hain

Bohut khubsurat hain aankhain tumhari
tum akhir khwaab kis k dekhte ho

hum un se bichur kar jeenay to lagey laikin
phir dil k dharak ne ki aawaz nahin ayee

Usss moor say shuru karain ab yeh ZINDAGI
Har shay bohat HASEEN thi HUM TUM thy AJNABI

uttha kay phool ki patti nazakat say masal dali
isharay say kaha hum dil ka youn haal kartay hain

woh din yaad kero jab mein thande hathon se tumhare gaal chua kerta tha...
tumhien meri ye shararat december mein yaad aye gi...!!

faryad kar rahi hai tarasti hoii nigah......
dekhy hue kisi ko bohat din guzar gay,,,,,,,,

Thursday, May 03, 2007

Her ik say poucha tery na milnay ka sabab,
Her ik nay kaha wo tery liye bana hi nahi..!!

pahlay hum tark-e-muhabat pe thay tayiar mager
janay kiya sooch k phir dil ka kaha man leya.....!!

uski aakhri nazar main ajab dard tha MUNIR,
jaaney ka us ka ranj mujhe umar bhar raha...!!

jo kehte kahte ruk gaye, un sari batoon ki
sama'at ko talab hai wo suna do phir chalay jana
bas ik murdaa hansi se apne askhqoN ko chhupane ka,
jo fan aata hai tumhein, wo sikhado, phir chale jaana......
jo mera aur tumhara waqt guzra hansnay ronay may
usay puri tarha se tum bhula do phir chalay jana...!!
na jaane kyun,magar tumhein dekhne ki aadat hai meri,
yeh be-wajaah aadat chhura do phir chale jaanaa
wo jo ik lafz-e-ulfat hai, juda hai apnay maani se
bus in alfaz-o-mani ko mila do phir chalay jana ...!!
ye ped paudhe tum bin kitni raat jaage hain,
inhein tum ik baar aakar sulaa do phir chale jaana

qurbat to bari cheez hai aye jan-e-tamanna
is dil ki tasalli ko tera naam bohat hai...!!

us roz se mosam bhi bohat talkh huwa hai
jis roz se taiwar yeh tumaray nahi achay

Hamin b dukh to buhut hai magar ye jhoot nahi.,
Bhula na daitay usay ham to mar gayay hotay

Main to ghazal suna kar Akela khara raha
sab apnay apnay chahnay waloon main kho gaye

maza barsat ka chahoo tu in ankoon mein aa bathoo
woh barsoon mein kabhi barsay yeh barsoon say barasti hain

Maine Poocha Tere Khad-o-Khaal Kaisey Hain,
Us Ne Husn Tamaam Likh Bheja....!!

har aik ishq k baad aur us k ishq k baad
Faraz itna bhi aasan na tha sanbhal jaana

Tuesday, May 01, 2007

barra dilchasp manzer he sakoot-e-naaz ka un k
nigaahein guftugoo kerti hein khud khamosh rehtey hein

chahu kisi ku beshak tum pojnay ki had tak
is ko khabar na ho kay tumhein chah raha hai koi

chhor ker sab deen-o-eemaan meer jis k waastey
me huwa kaafir to wo kaafir muselmaan ho gaya

safer akeyle hi kaat lo ge? ye me ne poocha to ro perra wo
jawaab kitna ajeeb sa tha, sawaal kitna ajeeb sa tha ...!!!!!

IQBAL ishq ny tery sub bell diye nikaal
muddat say arzuu thi k seedha kery koi

Majaal-e-tark-e-mohabbat na ek baar hui
Khayaal-e-tark-e-mohabbat to baar baar aaya

takleef main ju lab pe tera naam aa gaya
kuch dard barh gaya, zara aram aa gaya

DIL MAIN KITNEY AAEHAAD BAANDHEY THEY BHULANEY KEY USEY
WO MILA TU SAAB EERADEY TOORNA AACHA LAGA..!!

USEY KAHNA KEY PALAT AAye AB TU
JUDAI DARD BANTI JA RAHI HAI..!!

hazar imtehan aur hazar aazmaishen
hazar dukh.,hazar gum utha sako tu sath do

Wo ajnabi ban k ab millay bhi to kya hai Mohsin
Ye naaz kam hai k main bhi uska kabhi raha hun

AAB TUM HO MUQABIL TU MUJHAY HAARNA HOGA
TUM KO TU MERI JAAN HAARAYA NAHI JATA

Tum mujhey chor kar jao gay tu mar jaon ga
Yu'n karo janay say pehlay mujhey pagal kar do

Yeh Bhi Aadaab Hamary Hein Tumhein Kia Maloon
Ham Tumhein Jeet Keh Haary Hein, Tumhein Kia Maloom

JO BHI BICHRAY HAIN WOH KAB MILAY HAIN FARAZ
PHIR BHI TU INTAIZAR KER SHAYAD

thak gaya hoon main tujhe yaad karte karte
ab main tujhe yaad aana chahta hoon

main usay badua tu nahi deyta laikin
Khuda karay usay koi muj sa na milay