Thursday, April 26, 2007

meray pass se wo guzray mera haal tak na poocha
me yeh kese man lun k wo dur ja k roye

US SEY KAHO MAIN HAAZIR HOUN MAAZEED DUKH DEY LEY
BOOHAT SAKOON MILA HAI AGER SATA KEY MUJHAY...!!

Karon ga kia jo mohabbat main ho gaya nakaam;
mujhe to aur koi kaam bhi nahin ata ..!!

koi taveez ho rad-e-bala ka
mere peeche mohabbat par gayi hai

Kisi Ko Chout Lagay Wo Ro He Deta Hai..
Tuu Apne Sabrr Ko Itna Na Aazma Pagal...!!

meri aur uski zaat ma itna hi farq hay
mujhay bas woh usay zamana chaiya

NA SIYO HONT NA KHABOON MAIN SADA DO HAM KO
MASLEHET KA YEH TAQAZA HAI, BHULA DO HAM KO

jo main sir basajda hua kabhi to zamien sey aaney lagi sada .,
tera dil to hai sanam aashna tujhey kia milay ga namaz main..!!

udaasian jama ker k sare jehan ki,
kuch na ban saka to mera dil banadia.

milain gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushiyan
bas intezaar hai kab yeh kamaal hona hai....!!

apni zeest ka tu bus itna sa goshvara hai
tumhein nikal ker daikha tu sub khisara hai

doobi hein meri ungliyaan khud apney lahoo me
ye kaanch k tukron ko uthaney ki saza he...!!!

jati hoi maiyat dekh key bhi ALLAH tum uth ker aa na sakey...
do char qadam tu dushman bhi takleef gawara kerty hain

peyrr ko deemek lag jaye ya aadem zaad ko ghum
dono hi ko amjad hum ne bachtey deykha kamm !

utaar ker tujhey dil mein, me phorr loon aankheyn
palett ker jaa bhi sakey tu, wo raasta na rahey

Tuesday, April 24, 2007

wo jiske sath ki khwahish uraan bharti hai
usi ka nam nahin hamare hath ki lakeeron main

Shaid usay aziz theen aankhain meri bohat
Woh mere naam apni basaarat bhi ker gaya
'Mohsin' yeh dil k us se bicherta na tha kabhi
Aaj usko bhoolne ki jisaarat bhi ker gaya ..!!

kehtay hain loog ishq ko ibadat yaro,,,,,
ibadat main phir kioun ruswai hai

jafa jo ishq main hoti hai woh jafa hi nahin
sitam na hoo tou mohabbat ka kuch maza hi nahin

apni halat ka bhi ehsas nahi hai mujh ko,,,,,
mein ne auroon se suna he k pareshan hoon mein

Ishq sunty they jisey Hum woh yehi hey shayd
khud ba khud dil men hey ek shakhs samaya jata

maine jis shakh ko pholoun se sajaya tha faraz,
mere seene main usi pair ka kanta utra

tum b khafa ho log bhi barham hain doston
ab ho chala yaqeen bure ham hain doston

Koi aey shakeel dekhey yeh jonoon nhi tu kia hey
k usey k ho gey hum jo na ho saka hamara

Muskurane se bhi hota hai bayan ghame dil
Mujhe rone ki bhi adat ho yeh zaroori to nahi

woh jin k deed ki aaas thy woh milllay tto rah main yuun millay
main nazar utha k tarrap gaya woh nazar utha k guzar gaye

Ujri rangat, bikhray gaisu, Ankh main uski phela kajal
Ghoor se dekho to kehtay hain, is larki ne pyar kiya hai.

ISS KHOOF SAY WO SATH NIBHAANY K HAQ MAIN HAI====
KHOO KER MUJHY YEA LARKA KAHEN DUKH SAY MUR NA JAAY

bohat dur tak chalna magar phir bhe woheen rehna
mujhay tum say tum tak kay dairay achay lagtay hain

MUJH SE KAHA JO YAAR NE JATE HEIN HOSH KIS TARAH
DEKH KE MERI BEKHUDI CHALNE LAGI HAWA KE YUN

mohabbat aur deewangi mein farq kitna hai
mohabbat mein thodi aur deewangi hai bas

wo tu kuch hogyai tum se mohabbat warnaa..
hum tu wo khudsar hai jo apni bhi tamana na karen...

us k nazdeek ghum-e-tark-wafa kuch bhi nahi...
mutmayin aise hain jaise huaa kuch bhi nahi

mujhay lagta hay dil khinch ker chala aata hay hathon main.
.tujhay likhon to meri ungliyan aisi dharakti hain

ik lafz mohbat ka adna sa afsana hay
simtye to dill, phele to zamana hay

Tum lakh chupao senay main ahsas hamari chahat ka,
Dil jab bhi tera dharka hay awaz edhar tak aai hay

kam hi hote hain jazbon ko samajhne vaale,
isiliye shairon ki bastiyan nahi hoti

rooth jate ho to kuch aur haseen lagte ho
hamne ye soch ke hi tum ko khafa rakha hai

rasm e ulfat hi ijazat nahin deti warna
ham bhi aisa tumhain bhoolen k sada yad karo

Ab to ghabra k ye khete hain k Mar jayen ge
Mar k bhi chan na paya to kider jayen ge

Kaisa zo'm, kahan kay tewar, kis ki khudi aur kaisi anaa....?
yaaro sacchi baat to yeh hai, kho kay usay pach-taay buhot

YE MERA FAISLA HAI,AAP MERAY HO NAHI SAKTEY
MAIN JAB JANOUN KEY YE JAAZBA MERA NAKAM HO JAI

Na keh sako to woh pyari aankhen jhuka lena,
Hum samajh jayange Jaan, tum kuchh na kehna

Sunday, April 22, 2007

hamein maut par yakeen hai par un par bhi aetbar hai ,
dekhte hain kaun aata hai pehle dono ka hi intzar hai

hum to samjhey they ek zakham hai bher jaiga
kya khaber thi rag -e- jan mein uter jaigaa

ham se to ik baar bhi jeeta he na jeete ga koi
wo to ham jaan ke kha lete hien maatein akser

Youn lagta hai jasay abhi loat aaye gaa
jaatay howay chiragh bujha kar nahin gaya

Mujh Ko Yeh Soch Hi Kafi Hai Rulane Kay Liye
Mein Na Hoti To Koi Aur Tumhari Hoti...

isse kismat kahoon k duniya faraz
jisse pyaar karo bewafa nikalta hai

gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa
gar jeet gaye to kia kehna hare b to bazi maat nahin

chehre badal badal k mujh se mil rahe hain logg
itnaa bura suloook meri saadgi k sath

kabhi jo yaad bhi ata hoon main to kehte hain
k aaj bazm main koi fitnaa o fasaad nahin

der se aaj mera sar hai tere zaanon par
ye vo rutba hai jo shaahon ko mila karta hai

muskuraa k daal diya rukh pe naqaab
mil gaya jo milna tha mujh ko jawab

Manga hi Nahin Tuj ko Kabhi Apnay KHUDA se
Is Qadar Umeed thi Muje Apni WAFA se

dil k zakhmoo koi shayriii kahe to parwaa nahin
dard to tab hota hai jab koi WAH WAH karta hai

DIL-O-NAZAR ki yeh halat gawahi daiti hai
wo mujh per phoonk raha hai koi amal ker k

Mein or usko bhooloon NASIR kaisi baatein kerte ho
Soorat to phir soorat hai wo naam bhi pyara lagta hai

too to alim hai samajhta hai kitabon ki zaban
mera chehra bhi kabhi perh mere halaat bata
bus hojae mujhe meri MOHABBAT hasil
too koi aisi DUA aisi MUNAJAAT bata

DIL MAIN KITNEY AAEHAAD BAANDHEY THEY BHULANEY KEY USEY
WO MILA TU SAAB EERADEY TOORNA AACHA LAGA

tujh ko dekha nahin teri tammannaa kii hai
tu gar koi khayaal hai to khayaal bara haseen hai

Thursday, April 12, 2007

bala ki afratafri hamari zaat main hai lekin...
hamain bedhayani main b tera dheyan rehta hai

Udas sham aur teri yaad k rangeen lamhat
main tery saath hon aur khud mujahy khaber bhi nahi

ik din use zameen ki kashish kheench laigi
kab tak rahega tera Khyaal asmaan per

Apni Sab Adain Mujhe Dedo
Sari Wafain Tumhain Daita Hoon
Jo Sochi Thi Kabhi Khud K Liye
Woh Sab Duain Tumhain Daita Hoon.

Yad Kerta hun Saans Rukti ha
Kiskadar mukhtasir ye kahanni ha!

muhabbat main nahi hai farq jenay aur mernay kaa
usi ko dekh kr jetay hain jis kaafir pr dum niklay

Tuesday, April 10, 2007

hazaroun khuaahishain aesy keh har khuaahish pay dam niklay
bohat niklay merey armaan lekin phir bhi kam niklay

Aik bat kahon gar Tujeh Bura Na lagay ...
Tu Mujh Say lakh banay Per Bawafa Na lagay ...
ye teray lehejay ki Sachai hai ya tera Husun-e-Kamal...
Tu Mujh Se Hazar Jhoot Bolay or Mujhe pata Bhi na Lagay

Aaj Ansoo Bahanay Say Maat Rookay
Aaj Barish Thamay Hum Nahi Chahtay

Buhat karli Muhabbat Hum nay Abb bas Dil ko Lagaya Karain gay ...
Jis Agg main jalay Hain barson oron Ko Jalaya karain Gay

Ik mudat se Kiya Hai Tera Intizaar Aai Sanam
Umar ab to Kat Chuki humein Jaana Hoga

teri har ada muhabbat si lagti hai ...
pal bhar ki judai mudat si lagti hai ...
pehelay na socha tha abb sochnay lagay hain ...
zindagi key har lamhey main teri zaroorat si lagti hai

Qudrat ka asool QATEEL badal doon main kaise
marne se pehlay jeena buhat zaroori hay

kitna acha tha ke hum bhi jeeya karte thay faraz.......
ghair maroof se gumnam se pehle pehle

Monday, April 09, 2007

This is written in the Hebrew Talmud, the book where all of the
sayings
and preachings of Rabbis are conserved over time.

""Be very careful if you make a woman cry, because God counts her
tears. The woman came out of a man's rib.

Not from his feet to be walked on.

Not from his head to be superior, but from the side to be equal.
Under the arm to be protected, and next to the heart to be loved.""

Saturday, April 07, 2007

Hum to ruthy thay k wo aa k manna lay ga hammain
Sare duniya main uss ek shakhs ko mur janna tha

yaad us ki itni khoob nahi meer baaz aa
nadaan phir woh jee say bhulaya na jaye ga

Ya rab! Gam-e-hijraan mein itna to kiya hota
Jo haath jigar pe hai wo dast-e-duaa hotaa..

na toot ke chaho usse aghaaze safar main
bichre ga to har ek ada tang kare gi

Yaadon Ki KhaLish Hai na Dharaknay ki Sada Hai
Mehsoos Yeh Hota Hai Keh DIL Toot Gaya Hai

izhaar-e-mohabbat na kiyaa bas isii Dar se
aisaa naa ho gir jaaun kahiin un kii nazar se

nakamyoun se ishq ki hadh tak lagao tha
humne tere hasool ko maqsad bana liya

Yeh ajeeb khel hai ishq ka mein ne aap dekha yeh mojzaa
Woh jo lafz meray gumaa'n they woh teri zubaa'n par aagaye

Abhi kumsin ho rahnay do,kahin kho do gi mara dil
Tumharay hi liye rakha hai lialena jawan ho kar

Ya Rabb! wo na samjhe hain, na samjhen gen meri baat
de aur dil un ko, jo na de mujh ko zuban aur...

Wo mukhatib bhi hain kareeb bhi hain
un ko dekhain kay un say bat karian

Thursday, April 05, 2007

Khanjar chalay kisi pay taraptay hain hum Ameer
Saray jaha'n ka dard HUMARAY Jiger mein hai!!

Yeh Jo Dewanay Do Chaar Nazar Aatay Hain
In Main Kuchh sahib-e-Israr Nazar Aatay Hain
Hashar Ke Din Kon Gawahi Meri De Ga SAGHAR
Sab Tumharay Hi Tarafdar Nazar Aatay hain

Tassawur mein Chalay aatay Tumhara kIya bigar jaata
Tumhara Pardah reh jaata HUmain Deeedaar ho jaata

app sya mil k hum kuch badal sya gayeee
shair sunnay lagay gungunanay lagay

Zuban pay baat dil se ati hai
Dil mai janay kahan se ati hai

jab muhabbat ka junoo.n tha woh zamana aur tha
ab ana ka masla hy woh khud chal ker aye

usay kehna bahut na-murad shay hy junoo.n
usay kehna mujhay bahut hy junoo.n uska

Meray gusay tak ko woh sumjh na saky
kesy mujh say piyar kernay ka dawa kerty thy

Sab se nazar bacha ke wo mujh ko aisay dekhta
aik dafa tau ruk gayi gardish-e-maho sal bhi

Tuesday, April 03, 2007

Ye Sooch Sooch Kay Aksar Udaas Rehta Hun
Mein Kis Kay Pas Hun Kis Kay Pas Rehta hun

kitabain baich ker khaima khareeed ly majid
bhurapa kis tarah guzary ga naukry k baad

Is Tarha Sataya Hai Pareshan Kya Hai,
Goya Dosti Nahi Ahsan Kya Hai

Kis Ka haq Hai Tum Pe Yeh Tum Ko Bhi Nahi Pata,
Woh Joh Tumhien Chahata Hai Ya
Woh Joh Tumhien Apna Bana Chukha hai

Hay mezbaani ka ye takaza, kay aaye mehmaan to muskura do
Magar tabiyat ye chahti hay galay milo or gala daba do

Nahin Khel Aiy Daagh Yaro'n se kehdo
k aati hai Urdu zuba'n aatay aatay

woh musalmaan thi ALLAH se sharmati rahi
or bhagwan se gori ne sajan maang lia

main hoon ik mard bhi ,shaair bhi magar ik musalman bhi
muhabbat kar ke phir is ko nibhana meri aadat hai

wo mo'ojazat ki had tak pohonch gaya hai QATEEL
huroof koi bhi likhon usi ka ism baney

Terey jasi aakhon wale saahil per jab aatey han
Lehren shor machati han!Lo aaj samandar doob gaya!!

Yehi Kaafi hai ke baitha hai sar jhukaye huye
Mujhe ujaar ker woh shaks sharamsaar toa hai

Aap burhum hi sahi, Baat tou kar lein Hum sey
Kuch na kehney sey Mohabbat ka gumaa'n hota hai

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta