Wednesday, August 22, 2007

Ruth jane ki aadatein na gayein

ruth jane ki aadatein na gayein
dil jalane ki aadatein na gayein
zakham kha ker bhi tujh se name tera
gungunane ki aadatein na gayein
payar se jo bhi mil gaya us ko
dukh sunane ki aadatein na gayein
chand ki sharam se naqaboon me
mun chupane ki aadatein na gayein
do diloon ko ujaar ke hansna
yeh zamane ki aadatein na gayein
chand jesa har aik haseen chehra
didl ko bhane ki aadatein na gayein
beesiyon baar aazma ke hamein
aazmane ki aadatein na gayein
raat ke pechle pehar aye ayaz
ghar ko ane ki aadatein na gayein
Ayaz Ahmed..

Us ke hathoon se jo khusbo-e-hina ati hai

Us ke hathoon se jo khushbo-e-hina ati hai
esa lagta hai ke janat se howa ati hai
choomne daar ko kis dhaj se chala hai koi
ajj kis naaz se maqtal me qaza ati hai
na khabhi koi kare tujh se tera jesa sulook
haath uthate hi yehi lab pey dua ati hai
tere ghum ko yeh barhana nahi rehne deti
meri aankhoon pey yeh ashkoon ki rida ati hai
us ke chehre ki tamazat bhi hai shamil is me
ajj tapti hoyee sawan ki ghata ati hai
ghomne jab bhi tere shehar me jati hai wafa
been kerti hoyee wapis woh sada ati hai
hai wohi baat har aik lub pey buhat aam yahan
hum se jo kehte hoye in ko haya ati hai
wasi shah......

Tuesday, August 21, 2007

Apne ashsas se chu ker mujhe sandal kerdo

Apne ahsas se chu ker mujhe sandal kerdo
me ke sadiyon se adhora hoon mukamal kerdo

na tumhe hosh rahe or na mujhe hosh rahe
is qadar tote ke chaho, mujhe pagal kerdo

tum hateli ko mere payar ki mehandi se rango
apni aankhon me mere name ka kajal kerdo

is ke saye me mere khawab dehak uthein ge
mere chehre per chamakta howa aanchal kerdo

dhoop hi dhoop hoon me, tote ker barsoo mujh per
is kadar barso meri ruh me jal thal kerdo

tum chupa lo mera dil oout me apne dil ki
or mujeh meri nigahoon se bhi ujhal kerdo

masla hoon tu nigahein na churaoo mujh se
apni chahat se tawajha se mujhe hal kerdo

apne ghum se kaho har waqat mere saath rahe
aik ahsan karo is ko musalsal kerdo

mujh pe chah jaoo kisi aag ki surat jana
or meri zaat ko sukha howa jungle kerdo
wasi shah....

Na tha kuch tu khuda tha, kuch hota tu khuda hota....

Na tha kuch tu khuda tha, kuch hota tu khuda hota
daboya mujh ko hone ne, na hota me tu kia hota
howa jab ghum se yun behis tu ghum kiya sir ke katne ka
na hota gar juda tan se tu zano per dhara hota
hoyee ke muddat ke galib mar gaya, per yaad ata hai
woh har aik baat per kehna ke yun hota tu kia hota...
Asadullah Khan Galib.