Sunday, December 24, 2006

yeh aalum shooq ka dekha na jaye
woh buut hai ya khuda dekha na jaye

yeh kin nazroon se tum ne ajj dekha
ke tera dekhna dekha na jaye

hamesha ke liye mujhe se bechar ja
yeh manzar barha dekha na jaye

galat hai jo suna, per aazma ker
tujhe aye bewafa, dekha na jaye

yeh mehroomi nahi pass-e-wafa hai
koi tere siwa dekha na jaye

yahein tu aashna bante hian aakhir
koi na aashna dekha na jaye

faraz apne siwa hia koun tera
tujhe tujh se juda dekha na jaye..

Friday, December 22, 2006

khabi khabie (all time favorite)

khabi khabie mere dil me khayal aata hia
ke jese tujh ko banaya gaya hai mere liye

tu ab se pehle citaroon me bas rahi thee kahein
tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye

khabi khabie mere dil me khayal aata hia
ke yeh badan yeh negahein meri amaant hain
yeh gesoon ki ghani chaoon hia meri khatir
yeh hoonth or yeh bahein meri amaant hain

khabi khabi mere dil me khayal aata hai
ke jese bajti hian shehnaeyan si rahoon me
suhag raat hia ghonghat utha raha hoon me
simat rahi hai tu sharma ke apni bhaoon me

khabhi khabie mere dil me khayal ata hai...!

Wednesday, December 20, 2006

koi khass nahi...!!

Koi tum se poochay kon huun me.
tum keh daina koii khas nahi…
ik dost hay kacha pakka sa…
ik jhoot hay aadha sacha saa…
jazbaat ko dhanpay ik pardah…
bus aik bahana acha saa…
Jeevan ka aisa saathi hay…
Jo door na ho kar pass nahii…
koi tum se poochay kon huun me,,,
tum keh dena koi khass nahi…

Monday, December 18, 2006

bus itna yaad hia


Bus itna yaad hai
dua tu jane koun si thee
zehan me nahi
bus itna yaad hia
ke do hatheliyan mili hoyee theen
jin me aik meri thee
or aik tumhari..
.............

jawaz dhoond raha tha nayee muhabbat ka
woh keh raha tha ke me us ko bhool jaoon gee......!

Nick Name


tum mujh ko guriya kehte ho
theek hi khete ho.....!
khelne wale sub hathoon ko me guriya hi lagti hoon
jo pehna do mujh per sajhe ga
mera koi rang nahi
jis bache ke haath thama do
meri kisi se jang nahi
sochti jagti aankhein meri
jab chahe benai le lo
kokh bharo or batein sun
ya meri koyaee le lo
maang bharo, sandoor lagaoo
payar karo, aankhoon me basaoo
or phir jab dil bhar jaye tu
dil se utha ke tak pe rakh do
tum mujh ko guriya kehte ho
theek hi kehte ho...!


perveen shakir

Pehle pehal


shikan chup hia
badan khamosh hia
galoon per wesi timtamahat bhi nahi, laikin
me ghar se kese nikloon gee
hawa chanchal saheeli ki tarah bahir khari hia
dekhte hi muskaraye gee!
mujhe chu ker teri har baat paa le gee
tujhe mujhe se chura le gee
zamane bhar se keh de gee me tujh se mil ker ayee hoon!
hawa ki shokhiyan yeh
or mera bachpana esa
ke apne app se bhi me
teri khushboo chupati phir rahi hoon!
perveen shakir

Saath


kitni der tak
amltas ke perd ke neche
beth ker hum ne batein ki
kuch yaad nahi
bus itna andaza hai
chand hamari pusht se ho ker
aankhoon tak aa pohancha.

perveen shakir

I got your back

I got your back
You got mine,
I'll help you out
Anytime.

To see you hurt
To see you cry,
Makes me weep
And wanna die.

And if you agree
To never fight,
It wouldn't matter
Who's wrong or right.

If a broken heart
Needs a mend,
I'll be right there
To the end.

If your cheeks are wet
From drops of tears,
Don't you worry,
Let go of your fears.

Hand in hand
Love is sent,
We'll be friends
Till the end
.

SEE THE BRIGHT SIDE OF THINGS

Date: TODAY
From: THE BOSS
Subject: YOURSELF
Reference: LIFE

I am God. Today I will be handling all of your problems. Please remember that I do not need your help.
If life happens to deliver a situation to you that you cannot handle, do
not attempt to resolve it. Kindly put it in the SFGTD (something for God to do) box. All situations will be resolved, but in My time, not yours

Once the matter is placed into the box, do not hold onto it by worrying about it. Instead, focus on all the wonderful things that are present in your life now.

If you find yourself stuck in traffic; Don't despair. There are people in
this world for whom driving is an unheard of privilege.

Should you have a bad day at work; Think of the man who has been out of work for years

Should you despair over a relationship gone bad; Think of the person who has never known what it's like to love and be loved in return

Should you grieve the passing of another weekend; Think of the woman in dire straits, working twelve hours a day, seven days a week to feed her children

Should your car break down, leaving you miles away from assistance; Think of the paraplegic who would love the opportunity to take that walk.

Should you notice a new gray hair in the mirror; Think of the cancer patient in chemo who wishes she had hair to examine.

Should you find yourself at a loss and pondering what is life all about, asking what is my purpose? Be thankful. There are those who didn't live long enough to get the opportunity.

Should you find yourself the victim of other people's bitterness,
ignorance, smallness or insecurities; Remember, things could be worse. You could be one of them

Should you decide to send this to a friend; Thank you, you may have touched their life in ways you will never know!

if i had my life to live over


I would have gone to bed when I was sick instead of pretending the earth would go into a holding pattern if I weren't there for the day.

I would have burned the pink candle sculpted like a rose before it melted in storage.

I would have talked less and listened more.

I would have invited friends over to dinner even if the carpet was stained or the sofa faded.

I would have eaten the popcorn in the 'good' living room and worried much less about the dirt when someone wanted to light a fire in the fireplace.

I would have taken the time to listen to my grandfather ramble about his youth.

I would never have insisted the car windows be rolled up on a summer day because my hair had just been teased and sprayed.

I would have sat on the lawn with my children and not worried about grass stains.

I would have cried and laughed less while watching television and more while watching life.

I would never have bought anything just because it was practical, wouldn't show soil, or was guaranteed to last a lifetime.

Instead of wishing away nine months of pregnancy, I'd have cherished every moment and realized that the wonderment growing inside me was the only chance in life to assist God in a miracle.

When my kids kissed me impetuously, I would never have said, "Later. Now go get washed up for dinner."

There would have been more "I love you's." More "I'm sorry's."

But mostly, given another shot at life, I would seize every minute, look at it and really see it , live it and never give it back.

Thursday, December 14, 2006

SWEET SONG


Mairi humjoliaan,
kuch yahan,
kuch wahan
naam lay kar taira muskurain,
gungunain, dil jalain maira haiy jaoon kahan!! Sawan,
aaiy to, kiun na khoiy khoiy dil main omung ho Barkha,
chaiy to,
kiun na soi soi aankhoon main bhi rung ho Chal hut…
ab hum say na chupa,
sach sach bata,
wo kon hai, wo kon hai,
wo kon hai!!
Kaliaan muskain to,
kiun na mujh main bhi unki mehak ho Johi jhoomay to,
kiun na mujh main bhi johi ki lehak ho Chal hut…
ab hum say na chupa,
sach sach bata,
wo kon hai, wo kon hai, wo kon hai!!! KOI TU HAI :)

Milay kaisay sadiyoon ki pyas aur pani,
zara phir say kehna
bari dilruba hai yeh sari kahani,
zara phir say kehna
kahan say chala tha judai ka saya,
nahi daikh paya kay rastay main thee anso'oon ki rawai,
zara phir say kehna
hawa yeh khabar, sunati rahay aur main sunta rahoon
badalnay ko hai ab yeh mausam khazani,
zara phir say kehna
mukar janay wala kabhi zindagi main, khushi phir na paiy!
yunhi khatum kar lain, chalo yeh kahani,
zara phir say kehna
samay kay samandur, kaha tu na jo bhi, suna,
par na samjhay jawani ki nad'di, main tha taiz pani,
zara phir say kehna

(Amjad Islam Amjad)

gar mujhay iska yaqeen ho mairay humdam, mairay doost
gar mujhay iska yaqeen ho kay tairay dil ki thakan tairi aankhoon ki udasi,
tairay seenay ki jalan mairi dil joi, mairay pyar say mit jaiy gi
gar maira harf-e-tasal'li wo dawa ho jis say ji uthay phir taira ujra howa bay-noor dimagh
tairi paishani say dhul jain gai tazleel kay daagh tairi beemar jawani ko shaifa ho jaiy
gar mujhay iska yaqeen ho mairay humdam, mairay doost!
rooz-o-shub, sham-o-sahar main tujhay behlata rahoon main tujhay geet sunata rahoon halkay, sheereen, aabsharoon kay, baharoon kay, chamanzaroon kay geet aamd-e-subh kay, mehtaab kay, saiy'yaroon kay geet tujh say main husn-o-muhab'bat ki hakayaat kahoon kaisay maghroor haseenaoon kay barfaab say jism garm hathoon ki hararat main pighal jatay hain kaisay ik chehray kay thehray howay manoos naqoosh daikhtay daikhtay yeklakht badal jatay hain kis tarha aarz-e-mehboob ka shafaaf bilor yak ba yak baada-e-ehmar say dehak jata hai kaisay gulcheen kay liyay jhukti hai khud shakh-e-gulaab kis tarha raat ka aiwaan mehak jata hai yunhi gata rahoon, gata rahoon tairi khatir geet bunta rahoon, baitha rahoon tairi khatir par mairay geet tairay dukh ka mudawa hi nahi naghma jarrah nahi, moonas-o-gamkhaar sahi geet nashtar to nahi, marham-e-azaar sahi tairay azaar ka chara nahi, nashtar kay siwa aur yeh saf'fak maseeha mairay qabzay main nahi is jahan kay zeerooh kay qabzay main nahi haan magar tairay siwa, tairay siwa, tairay siwa!

aankhain bheeg jati hain!!



kisi ki aankh say sapnay chura
kay kuch nahi milta
mundairoon pay chiraghoon ko bujha kar
kuch nahi milta
koi aik aadh sapna ho to acha bhi lagta hai
hazaroon khwab aankhoon main saja kar
kuch nahi milta
yeh acha hai kay apas kay bharam na toot pain
kabhi bhi doostoon ko aazma kar
kuch nahi milta
najanay kon say jazboon ki youn taskeen karta hoon
bazahir to tumharay khut jala kar
kuch nahi milta
faqt tum say hi karta hoon main sari raaz ki batain
har aik ko daastan-e-dil suna kar
kuch nahi milta
mujhay aksar sitaroon say yehi awaaz ati hai
kisi kay hijr main neendain ganwa kar
kuch nahi milta
jigar ho jaiy ga chalni, yeh aankhain khoon roin gi
wasi bay faiz logoon say nibah kar
kuch nahi milta


(WASI SHAH)

Really


to really
love a woman
to understand her
you gotta know her deep inside
hear every thought
see every dream
and give her wings
when she wants to fly
then when you find yourself lying helpless
in her arms
you know you really
love a woman

to really
love a woman
let her hold you
till you know
how she needs to be touched
you’ve gotta breathe her
really taste her
till you can feel her
in your blood
and when you can see your unborn children
in her eyes
you know you really love a woman

sham

Apni takmeel kar raha hoon main

Warna tujh sai to mujh ko pyar nahin
[Faiz]

Wednesday, December 13, 2006

Zindagi key melay mein
Khuwahishon key relay mein
Tum sey kia kaheibn janan
is qadar mein jahmeelay mein??

Waqt ki rawani hay
Bakht ki girani hay
Sakht bey zameeni hay
Zakht lamakani hay

Hijr key samndar mein
Takht or takhtay ki eik hi kahani hay
Tumko jo sunani hayBat go zara si hay
Bat Umar bhar ki hay
(umar bhar ki batain kab do ghari mein hoti hain???)

Dard key samndar mein
Un-ginat jazeray hain
Beyshumar moti hain…
Ankh key dareechay mein

jo tum ney sajaya tha
Baat us diya ki hay
Bat us gillay ki hay

Jo lahoo ki khalwat mein chor ban ker ata hay
Lafz ki faseelon per toot jata hay

Zindagi sey lambi hay
Baat ratjagay ki hay
Rastay mein kesay ho
Baat rat jagay ki hay

Takhliya ki batonmein guftugoo izafi hay
Pyar kernay walon ko ik nigah kafi hay
Ho sakay tu sun jao eik din akeelay mein
Tum sey kia kahein janan is qadar jhameelay mein!

Mujhe raat gayay tak bahar rehnay par rokti rehti thee

Mujhe raat gayay tak bahar rehnay par rokti rehti thee

Main is ki batain sun kar hansi se uchaal deta tha

Kal jaldi aunga , yeh keh kar taal deta thaa

wo mujhay dekh kar muskura deti thee..or piyaar se chapat laga deti thee…

me usay bohat satata tha, isay bohat nakhray dikhata thaa

wo har baar meray naaz uthati thee…wo meray sadqay warii jati thee…

raat ko kisssi pehar bhii ghar jo ata

iss ko humaisha apna muntazir pata

din raat is k piyaar ki barsaat hoti thee

iss ki duaain hamesha meray sath hoti theen..

MAGAR AB…

zindagee me wo baat nahii

kiunkay ab wo meray paass nahii

iskay piyaar binaa dil ki zameen sookhi hay

ik wohi mukhliss thee, sari duniya rookhi hay

ghar me jab me lautoon wo nigahain dhoondata hoon

sama jaoon jin me, wo banhain dhoondata hoon

in jaghon ko dekhta hoon..jahan beth k wo mera intezaar kartee thee

me ghanton apna chehra dekhta hoon..jahan wo piyaar kartee thee

tairi dua k bagher sarkon pai nikal jata hoon

har qadam par rastay me thokar khata hoon…

MAAN too meray liay khudaaiiii soorat hay..

too laut aa mujhay teri zaroorat hay

main ghar jaldi laut aaunga

khuda ki kasam kabhi na sataoon ga

teri khidmat subah shaam karoon ga

jo kahai gii wo har kaam karoonga

meray kaan phir muntazir hain

ik baar phir wohi lori sona dai

ik arsaa hua me soya nahi

too apni god me mujhay sula dai

KASH KABHI AISI DUAIN NA MERTEEEN

KAASH KISI KI MAAAIN NA MERTEEEN

hum

Tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum.
Thukara na dein jahan ko kahin be-dili se hum

Maayusi-e-maal-e-mohhabat na puchhiye,
Apano se pesh aayen hain begaangi se hum.

Lo aaj hum ne tod diya rishta-e-ummeed.
Lo ab kabhii gila na karenge kisi se hum.

Ubharenge baar baar abhi dil ke val-vale,
Mana ke dab gayen hain gham-e-zindagi se hum.

‘gar zindagi mein mil gayen ittefaq se,
puchhenge apna haal teri bebasi se hum.

Allah re fareb-e-masahiiyat ke aaj tak,
Duniya ke zulm sehate rahe khamoshi se hum.

Hum gham-zada hain, laaye kahan se khushi ke geet,
Denge vahi jo payange is zindagi se hum.
– SAAHIR LUDHYANVI

kia karo gai

Tazaad-e-jazbaat mein yeh nazuk maqam aaya to kia karo gai???
Main ro raha hoon tum hans rahay ho,

main muskuraya to kia karo gai???
Mujhey tu is darja waqt-e-rukhsat sakoon ki talqeen kar rahay ho
Magar kuch apnay liyay bhi soocha?

main yaad aaya to kia karo gai?
Kuch apnay dil pay bhi zakhm khao meray lahoo ki bahar kab tak??
Mujhay sahara bananay walo,

main larkharaya to kia karo gai??
Tumharay jalwoon ki roshni mein nazar ki hairaniyaan musal'lam
Kisi nay nazar kay badlay mein dil aazmaya to kia karo gai??
Abhi tu tanqeed ho rahi hay meray mazaq-e-junoon pay
Laikin tumhari zulfoon ki barhami ka sawaal aaya to kia karo gai???
Abhi tu daman chura rahay ho,

bigar kay mehfil say ja rahay ho
Magar kabhi dil ki dharkanoon main shareek paaya to kia karo gai??
(Qabil Ajmeeri)

Saturday, December 02, 2006

Santa Claus is comin to town

"Santa Claus Is Comin' To Town"
You better watch out
You better not cry
You better not pout
I'm telling you why
Santa Claus is coming to town
Santa Claus is coming to town
Santa Claus is coming to town
He's making a list,
Checking it twice;
Gonna find out who's naughty or nice.
Santa Claus is coming to town
Santa Claus is coming to town
Santa Claus is coming to town
He sees you when you're sleeping
He knows when you're awake
He knows if you've been bad or good
So be good for goodness sake
With little tin horns and little toy drums
Rooty toot toots and rummy tum tums
Santa Claus is coming to town
Santa Claus is coming to town
Santa Claus is coming to town
He sees you when you're sleeping
He knows when you're awake
He knows if you've been bad or good
So be good for goodness sake
Goodness sake
You better watch out
You better not cry
You better not pout
I'm telling you why
Santa Claus is coming to town
Santa Claus is coming to town
Santa Claus is coming
Santa Claus is coming
Santa Claus is coming to town

Friday, November 24, 2006

Nahi Kerna

WafA rusvA nahiN karnA
SunO aesA nahiN karnA
MaiN pehlE hE akeli hooN
MujhaY tanhA nahiN karnA
Judai bhi jO aA jaeY
TO dil chhotA nahiN karnA
BohaT masrooF hO janA
MujhaY sochA nahiN karnA
MuqaddaR phiR muqaddaR hai
Kabhi duA nahiN karnA
BharosA bhi zaroori hai
MagaR saB kA nahiN karnA
Jo likha hai zaroor ho ga
Kabhi shikva nahin karna
Meri takmeel tum se hai
Mujhay aadha nahin karna
Haqeeqat hai milan apna
isay sapna nahin karna
Hamein tum yaad rehtay ho
Hamein bhoola nahin karna

sunna hey


Sunna hey loog usey ankh bhar k dekhty haen.....
Soo us k shahar maen kuch din tahar k dekhty haen...

Sunna hey rabt hey us ko karab haloon se....
So apney aap ko barbad ker k dekhty haen....

Sunna hey dard ki gahak hey chasham-e-naz us ki...
So hum bhi us ki gali se guzar k dekhty haen...

Sunna hey us ki bhi hey shar -o-shaeyri se shagaf...
So hum bhi mojzey apney hunar k dekhty haen...

Sunna hey boley tu baton se phool jahrty haen...
Ye bat hey tu chalo bat ker k dekhty haen....

Sunna hey raat usey chand takta rehta hey....
Sitarey baam-e-falak se utar k dekhty haen....

Sunna hey din ko usey tetleyan sataty haen...
Sunna hey rat ko jugno tahar k dekhty haen....

Suuna hey hashar haen us ki gazal se ankhaen....
Sunna hey us ko hiran dashat bhar k dekhty haen....

Sunna hey rat se bar k haen kaklen us ki...
Sunna hey sham ko saye guzar k dekhty haen....

Sunna hey us ki seyah chasmagi qeyamat hey...
So us ko surma farosh ah bhar k dekhty haen...

Sunna hey us k laboon se gulab jalty haen....
So hum bahar pa elzam dhar k dekty haen...

Sunna hey ayena tamsal hey jabeen us ki...
Jo sada dil haen usey bansanwar k dekhty haen...

Sunna hey jab se hamayel haen us ki gardan maen...
Mizaj or hi lal-o-gohar k dekhty haen...

Sunna hey chasham-e-taswur se dashat-e-emkan maen....
Palang zaveye us ki kamar k dekhty haen...

Sunna hey us k badan ki tarash aesy hey...
K phool apney qabayen katar k dekhty haen...

Woe sar-o-qad hey mager be gul-e-murad nai...
K us shajar pa sagofey samar k dekhty haen...

Bas ek nigha se lutta hey qafla dil ka...
So rahwan-e-tammana bhi dar k dekhty haen....

Sunna hey us k shabeestan se muttasel hey bahshest...
Makeen udhar k bhi jalway edhar k dekhty haen....

Rukey tu gardeshaen us ka tawaf kerty haen....
Chaley tu us ko zamaney tahar k dekhty haen....

Kesy naseeb k be pehrehan usey dekhy.....
Khabhi khabhi dar-o-dewar ghar k dekhty haen....

Khaneyan hi sahi sab mubalgey hi sahi.....
Ager woe kuwa

Thursday, February 23, 2006

Teri hum rakhs ke name

rakhs kerte hoye
jis ke shano per tu ne abhi sir rakha hai
khabhi me bhi is ke panahoon me thee
farakh yeh hia ke me
raat se kabal tanha hoyee
or tu subha tak
ab fareeb tahafuz me khoye rahe gee!!!!


(isnt that awesome....the true defination of MEN)

love you perveen shakir.

wehum

tumhara khena hia
tum mujeh bepanah shidat se chahite ho
tumhari chahat
weesal ki aakheri hadoon tak
mere faqat mere name hogi
mujhe yaqeen hai, mujeh yaqeen hai,
magar kasam khane wale larke!
tumhari aankhoon me aik til hai!


perveen shakir

woh aankhein kesi aankhein hian?

woh aankhein kesi aankhein hian
jise ab tum chaha kerte ho!
tum kehte they
meri aankhein, itni achi, itni sachi hian
is husan or sachai ke siwa, duniya me or koi cheez nahi
kiya un aankhoon ko dekh ker bhi tum
faiz ka misra parhte ho?


tum kehte they
meri aankhoon ki neelahat itni gehri hia
"meri ruoh agar aik baar uthar jaye tu is ke puur puur neelam ho jaye"
mujhe itna bataoo
ajj tumhari ruoh ka rang pehran kiya hia
kiya woh aankhien bhi samandar hain?


yeh kali bhori aankhein
jin ko dekh ker tum kehte they
"yun lagta hai sham ne raat ke hoonth pe hoonth rakhe hain"
kia un suraj doub ne ka lamha, un aankhoon me bhi thehar gaya
ya wahan faqat mehtab tarashte rehte hian?


meri palkein
jin ko dekh ker tum kehte they
in ki chaoon tumhare jisam pe apni shabnum pehla de
tu guzarte khawab ke musam loot ayein
kiya woh palkein bhi esi hian
jinhe dekh ker neend ajati hai?


tum kehte they
meri aankhein yunhi achi hain
"han kajal ki dunlai hoyee tehreer bhi ho........ tu
baat buhat dilkash hogi!"
woh aankhien bhi singhar tu kerti hongi?
kiya un ka kajal kudh hi mit jata hai?


khabhi yeh bhi howa
kisi lamhe tum se ruth ke woh aankhein ru dein
or tum ne apne haath se un ke aansoon kushk kiye
phir jhuk ker un ko choom liya
(kiya un ko bhi !!!)
perween shakir

Monday, February 20, 2006

pathetic but hilarious

ko ba ko phel gayee beti halwayee ki
us ne ladu ki tarah meri pazerayee ki

test tube baby howa hia meri khala ke yahan
baat tu sach hai magar baat hai ruswayee ki

woh kahein bhi gayee, luti tu mere pass ayee
bus yehi baat hai meri achi hamsayee ki

hoon me muslim magar, aik shuq ajab hai mujeh ko
larkiyan mujh ko pasand ati hian esayee ki

harnia tha mujhe gurda mera kat gaya kyon
galiyan deta hoon us ko me masheeayee ki.
uff these are the most pathetic ashar i have ever read......loose talk. :)

Tuesday, February 14, 2006

DECEMBER

Bheega bheega sa yeh december hai
bheegi bheegi si tanhayee hai
In kitaboon me jee nahi lagda
hum ko sagni ki yaad ayee hai
Bheega bheega sa december hai
Sham ki kali aankhein jab palkoon ko jhapkati hain
kisi pher ke neche kuch yaadein gungunati hian
kuch payar ke adhe nahgme adhi payar ki kahani
aik shehr ka raja or aik gaoon ki rani
dono bare premi they ban me gaya kerte they
un ke payar ke methey naghme panchi gaya kerte they
ab na premi hai na woh batein hian
or yaadein hi apni kamayee hia
Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si tanhayee hai
Is kamre ki khirki barish ka shoor sunati hai
or tumhari aahat humko yeh roog lagati hai
ab ke saal december me jab ban me me jaoon ga
neeli jheel darakhtoon saye or sukhe patte
sare tera pochein ge, kahan hai tera pochein ge
tera premi yaar kahan hai, sare tera pochein ge
kiay bataoon ga, kiya kahani hai
ab tu kismat me apni judai hai
In kitaboon me jee nahi lagda
hum ko sagni ki yaad ayee hai
Bheega bheega sa yeh december hai
Sham dhale jab panchi apne apne ghar jate hain
koi mujhe batlaye mujhe ko kyon yeh tarpate hain
mene bhi aik sapna dekha tha apne ghar ka
kho na jaye mera panchi laikin mujh ko dar tha
mera yeh apsana hai, sara yeh apsana hai
mera panchi rasta bhoola pagal hai deewana hai
woh gaya hai tu mene jana hai
mera dil ab bhi tera deewana hai
In kitaboon me jee nahi lagda
hum ko sagni ki yaad ayee hai
Bheega bheega sa yeh december hai
bheegi bheegi tanhayee hai

Sunday, January 22, 2006

han a gayee me wafis apni tamanahein le ker seene me chupa ker woh sub gum or khushiyan or woh sapne jo dil me the reh gaye sare arman magar kuch pure bhi hoye bus ab dekhti hoon hateliyan apne hathoon ki kab hai taqdeer meri wafis apne des.

Ek Baat Kahon

Ek Baat Kahon
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Kuch chanchal se , kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtey ho
hain chahney waaley aur buhut
par tum mein hai aik baat buhut.............
Tum apney apney lagtey ho
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana
yeh kiss uljhan mein rehtey ho....?
Kiya baat hai hum se keh daalo
Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
(????????????????????????)
~************************
***********************
~~~~~~~~~~~~~~~~~
~~~~~~~~~~~~~~~~~~