Monday, February 26, 2007

musam musam aankhoon ko aik sapna yaad raha
sadiyan jis me simat gayein woh yaad raha
qos-e-kiza ke rang they sathoon us ki lehje me
sari mehfil bhool gayee, woh chehra yaad raha

(amjad islam amjad)
na wada hai koi tum se, koi rishta nibhane ka
na koi or hi dil me, tehiya ya irada hai!
kayee din se magar dil me
ajab uljhan si rehti hia!
na tum is dastaan ke sar sari kirdaar ho koi
na kisa itna sada hia!
taluk jo me samjha tha kahein us se zada hai!

Saturday, February 24, 2007

lo phir tere laboon pe usii bevafaa kaa zikr
ahmad 'Faraz' tujh se kahaa naa bahut huaa ..!!
Ek Naam Kya Likha Tera Saahil Ki Rait Par
Phir Umar Bhar Hawa Se Meri Dushmani Rahi..!!
Manzilen bhi us ki thein, raasta bhi us ka tha
Ek main akela, aur qaafla bhi us ka tha
Saath saath chalne ki soch bhi usi ki thi
Phir raasta badalne ka faisla bhi us ka tha
Aj akela hoon to dil ye sawaal karta hai
Log to ushi k thay, kya KHUDA bhi us ka tha..!?!
es jazba dil k barey main ek mashwara tum se leta houn
us waqt muj pe kia lazim hai jab tum pe mera dil ajaye...!!
Tum Hum Se Yeh Kahtey Hoo, Mohabbat Nahin Rahi,
Tum Hi Badal Gaye Hoo, Yaa Woh Ulfat Nahin Rahi.

Her Baat Pey Taana, Her Andaaz Main Gussa,
Kiyun Saaf Nahin Kahtey, Mohabbat Nahin Rahi.

Gheron Pey Karam, Apnoo Pey Sitam kartey Hoo,
Phir Shaan sey kahtey, Woo Qurbat Nahin Rahi.

Sehra Main Tapish Main, Jab Tum Ney Humain Choora,
Is Husan kay Bazaar main, woh Qeemat Nahin Rahi.

Maana Kay Hum sey, Bhee Buhat Galatiaan Howee,
Shayed Ke Dar-Guzar, ki Tumhain Aadat Nahin Rahi.

Manzar Too Wohee Hai, Halat Hain Badley,
Shayed Ke Ishaq-e-Yaar, ki Zaroorat Nahin Rahi ..!!
aghaz yoon hua tha...
usne gulaab bheja
main ne kitaab kholi
aur us main rakh diya woh
sab se usay chupaya

anjaam ye hua hai...
kuch khushk pattiyan hain
thorri si hai mehek bhi
bas...aur kuch nahi hai
HAR KOI KIBREYA HAI TUJHEY DEKHNAY KAY BAAD
DAWA MERA BAJA HAI TUJHEY DEKHNAY KAY BAAD

AA KAR TEREY SHEHER SAY WAPAS NA JAON GA
YEH FAISLA KYA HAI TUJHEY DEKHNAY KA BAAD

SAJDA TUJHEY KAOON GA TU KAFIR KAHEIN GAY LOG
YEH KON SOCHTA HAI TUJHEY DEKHNAY KAY BAAD

KEHTAY HAIN TUJH KO LOG MASEEHA MAGER YAHA
IK SHAKHS MAR GYA HAI TUJHEY DEKHNAY KA BAAD

Thursday, February 22, 2007

sub tumhare liye

sub tumhare liye
jan-e-jan yeh jahan, yeh zameen asmaan
yeh mere raat din, khaak me tere bin
yeh meri zindagi, dosti dushmani
raste, waste, sub tumhare liye
sub tumhare liye
tum jo dekho tu mujhe shub-o-rooz ko
koi matlab mile
tum jo pocho tu mere har aik hurf ko
koi rutba mile, koi mansib mile

tum jo socho mere waaste kuch khabhi
me sitaroon ko muthi me bhar laoon ga
tum agar aik din mujh ko awaz do
me jahan per bhi hoon, lut ker aoon ga
yeh mere jism-wa-jan mere shere-sukhan
meri tanhayein
bazm-e-aaraiyan

ab tumhare liye
sub tumhare liye.....

Monday, February 05, 2007

KAL CHODWEIN KI RAAT THEE, SHUB BHAR RAHA CHARCHA TERA

kal chodvein ki raat thee, shub bar raha charcha tera
kuch ne kaha yeh chand hia, kuch ne kaha chehra tera

hum bhi wahein mojood they, hum se bhi sub pooch kaye
hum hanse diye, hum chup rahe, manzoor tha perda tera

is shehar me kis se milein? hum se tu chotein mehfilein
har shakhs tera name le, har shakhs deewana tera

koche ko tere chor ker, jogi hi ban jayein magar
jungle tere, perbat tere, basti teri sehra tera

hum or rasm bandagi, ashuftagi? uftadagi?
ahsan hai kiya kiya tera, ey husne beperwa tera

do ashk jane kis liye, palkoon per a ker tik gaye
altaf ki barish teri, akram ka dariya tera

ey be-dareeg wa be-amaan, hum ne khabi ki hia fagahn?
hum ko teri wehshat sahi, hum ko sahi suda tera

hum per yeh sakhti ki nazar? hum ne fakeere rehguzar
rasta khabhi ruka tera? daman khabhi thama tera?

han han teri surat haseen, lekin tu esa bhi nahi
is shaks ke ashar se, shera howa kiay kiya tera

bedard suni ho tu chal, kehta hia kiya achi gazal
ashiq tera, ruswa tera, sahir tera, insha tera....!

(ibne insha)

Sunday, February 04, 2007

Bicharr ke mujh se tum bhi jee na paoge
Sach kehti hoon mere bin bohat pachtaoge
Bardasht ka paimaana hai mera bhi bohat wasi
Bolo kitna rulaoge bolo kitna sataoge
Yaadein meri satayengi baatein meri rulayengi
Meri nigahon se tum khud ko kahan tak chhupaoge
Saaya bhi hua karta hai kya kabhi Insaan se judda
Tum jahan bhi jaoge saath mujh ko paoge
Kardega mera khaloos yeh haalat tumhari
Raaz e Dil zaban tak laoge aur keh na paoge
Karti hoon intezaar us lamhe ka main
Jab mujhe apna keh ker paas bulaoge
Mujhe Jis Se Mohabbat Hai Usse Main Paa Nahi Sakti

Usse Paana Bohat Mushkil Usse Main Kho Nahi Sakti



Yeh Kaisa Jabr Hai Dil Per Yeh Kaisi Meri Majboori

Meri Aankhein Hain Nam Nam Si Magar Main Ro Nahi Sakti



Usse Hai Pyaar Mujh Se WOH Mujhe Her Roz Kehta Hai

Mujhe TUM Se Mohabbat Hai Usse Main Keh Nahi Sakti



Kabhi Milta Nahi Jo Woh To Chain Aata Nahi Mujh Ko

Juddayi Ka Khayaal Aaye To Phir Main So Nahi Sakti



Tera Israar Ek Din Ek Ho Jayenge Hum Dono

Mera Her Baar Keh Dena Ke Main Teri Ho Nahi Sakti
itnay kamzor hogaye teri judaii se
waah wah !!!!
arz kia ha
itnay kamzor hogaye teri judaii se
k machar hi utha le gaya charpaii se



Yaad mein teri aankhe bharta hai koi,
har saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai,
lekin teri judaai mein har roz marta hai koi..



Dil torna humari aadat nahi
Dil hum kissi ka dukhate nahi
Bharosa rakhna meri wafaon pe
Dil mein bas kar hum kissi ko bhulate nahi



Kya aankheiN hain aapki, kya baatein hain aapki..
us khuda ne kuch aisa aapko bnaya hai...
maano..."Shhhsss...KOI Hai" se bhoot nikal aaya hai....



Kon kehta hai dost ki tumse humari judaai hogi
yeh afwaah zaroor kissi dushman ne uraayi hogi
shaan se rahenge tumahre dil mein hum
itne dino mein kuch to jagah banayi hogi



Tumko dekha to yeh khyaal aaya
Tumko dekha to yeh khyaal aaya
Ki Paaglo ke stock mein Naya Maal Aaya
dil chahta hai us say shikway shikayat karoon lakin!
sochta hoon k woh meri kiya lagti hai?

dil chahata hai k us say toot kar pyar karoon lakin!
sochta hoon k woh meri kiya lagti hai ?

dil chahta hai k us k seenay say lag kar so jaoon lakin!
sochta hoon k woh mera kiya lagti hai?

dil chahta hai k us say laroon aur manaoon lakin!
sochta hoon k woh meri kiya lagti hai?

dil chahta hai k us ko ajj bata doon k!
.......wo hi meri sab kuch lagti hai!!

kash koi yeh samjah bhii leeeeee.......
k WOH hamari kya lagti hai
ulfat mein aksar aisa hota hai,
ankhein hasti hai aur dil rota hai,
mante hai hum jinhe manzil apni
humsafar unka koi aur hota hai.

*********************

Dard se dosti ho gayi yaaroo
Zindagi bedard ho gayi yaaroo
Kya huwa jo jal gaya aashiyana hamara
Door tak roshni to ho gayi yaaroo.....

*********************

Hamne tho umr guzaar-di tanhaai main
seh liye situm teri judaai main
abh-to yeh faryaad hai khudha se
koi aur na tarpe----teri bewafaai main~

*********************
Qadam Qadam Par Baharon Ne Sath Chod Diya,
Pada Jab Waqt To Apno Ne Sath Chod Diya.
Qasam Khaii Thi In Sitaron Ne, Sath Dene Ki ,
Subah Hote Hi Sitaron Ne Bhi Sath Chod Diya

*********************
Matt puch mere sabar ki inteha kaha tak hai?
tu sitam kar le,teri taqkat jaha tak hai,
wafe ki umeed jinhe hogi,unhe hogi,
humein toh dekhna hai,
tu zalim kaha tak hai?

*********************
aaj ki raat mera darde mohabbat sun le,
kap kapaate hue hontho ki shikayat sun le
aaj izhare khayalat ka mo

my fav

Kese Kahoon k Apna bana lo Mujhe
Bahon mai apni Sama lo Mujhe
Bin Tumhare Ek pal bhi ab kat-ta nahi
Tum aa ker mujhi se Chura lo Mujhe
Zindagi to wo hai Sang Tumhare jo guzre
Dunya ke Gamon se ab Chura lo Mujhe
Meri sab sey Gehri Khuwahish ho puri
Tum agar paas apney bula lo Mujhe
Yeh kesa Nasha hai jou Behka raha hai
Tumhari hoon Mai to sambhalo Mujhe
Najane phir kese guzrey gi Zindagani
Agar apne dil se kabhi Tum nikalo Mujhe
Zinda Dil Hain Hans Kar Do Ghum Seh Lainge
Har Ghum Mein Uska Saath Ho Yeh Zaroori To Nahi
Yoon To Woh Bohat Wafashaar Hain Magar Phir Bhi
Har Kadam Pe Wafa Karein Yeh Zaroori To Nahi
Hosle Aur Bhi Bhar Jainge Shikast K Baad
Jeet Yahan Sada Hamari Ho Yeh Zaroori To Nahi
Shiddat-e-Ghum Mein Insaan Ro Bhi Daita Hai
Samne Uska Aanchal Ho Yeh Zaroori To Nahi
Nazrain Thi Buss Kya Karti Pathar Ho Gayee
Uske Baad Kisi Aur Ko Dekhein Yeh Zaroori To Nahi
Hum Ne Hamesha Usse Dil se Chaaha
Woh Bhi Hamain Chahe Dil se Yeh Zaroori To Nahi.
________________________________________________________
"Dil mein na ho Jurrat to Mohabbat nahi milti
Khairaat mein itni bari Daulat nahi milti
kuch Log yonhi Shehr mein Hum se Khafaa hain
Her aikk se Apni bhi Tabiyat nahi milti
Dekha tha jise main ne koi aur tha shayad
Wo kaun hai jis se Teri soorat nahi milti
Hanste hoye Chehron se hai Baazar ki Zeenat
Rone ko yahan Waise bhi fursat nahi milti……
Rok lo Qadam Jee bhar k dekhlo
Hamara tumhara saath bas yahin tak tha
Manzil miley na miley ab hamari Kismat
K Zindagi k saath safar bas yahin tak tha
Tum chal nahi saktey is sey aagey ek qadam
Ruk jao k Phoolon ka Chaman yahin tak tha
Aagey arahey hain ghum mujh se milney galay
K apni khushiyon ka thikana bus yahin tak tha
Utho aur naye Humraahi talash karo
K yeh khuwaab Suhana bas yahin tak
Aap se kabhi mil na paaye hum
phir bichadne ka darr kaisa
meri har dhadkan me aap ho shamil
phir aapki judaai ka gham kaisa

deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum
unki talaash hai ab har taraf
umr-e-tamaam kisike naam kar diya humne
ab maut se bhi hume ghabdraana kaisa

aapki yaad yun zindagi ko mehka de
bahaar bankar fiza me rang bhar de
sanwaara hai mujhe aapne is kadar
ki patjhad se bhi ab nazren churaana kaisa

sitaron ki mehfil saji thi har taraf
phir bhi roshni ko taras gaye the hum
mahtaab jo ban gaye aap zindagi ke
ab andheron ka humse naata kaisa

Khuda se jo maangi humne duayen
kabool kiya unhone hamaari mohabbat ko
zamana hume ab baddua de bhi toh kya
hume ab zamaane se shikayat kaisa
Bas itni si inaayat mujhpe aik baar kijiye
kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

ho jaaiye begaane aap shauq se sanam
aapkee hun aapkee rahungee aitbaar kijiye

parrhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

in jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

karna hai ishq aapse karte rahenge hum
jo bhi karna hai aapko mere sarkaar , kijiye

phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

hame na dikhaiye ye daulate ye shohrate
hum pyaar ke bhookhe hain hame pyaar kijiye………….
zindagi aaj meri jaan ki dushman bani hai,
mere khabon ki rani aaj kisi aur ki dulhan bani hai.

aisi zindgi se kya faayda maula,
le kyon nahi leta ye jaan jo chand saanso ki mehman bani hai.

kya kahun kitni mahir hai wo chehre badalne me,
kar ke khoon mere jazbaton ka dekho kitni nadaan bani hai.

socha na tha meri mout ka bhi faayda utha legi wo,
mere khoon ki mehndi aaj uske sajne ka saaman bani hai.

jise kahta tha main kabhi mohabbat ki devi,
wahi devi aaj mere liye haivaan bani hai.

humsafar tha main jiske liye kabhi,
hoke begane ki wo mujhse aaj anjaan bani hai.

kaash ki main tere sehre ka phool hota
to choom leta tere maathe ko ki tu aaj malikae paristan bani hai.

yoon to dono ne ghar badle hain aaj,
wahan tujhe mahal mile,yahan kabr hamara makaan bani hai
Kaho ab kia kahoon tum se
Batao kia likhoon tum ko
Mujhe tamheed do koi mujhe umeed do koi
Naya ik lafz ho koi
Jahan se baat chal nikle meri mushkil ka hul nikle
Batao lehja kaisa ho
K tum se baat kerni hai
Mujhe thora ujala do baser ik raat kerni hai
Tum apni roshan aankhon ko
Ager kholo to mein likhoon
Tumhaare lub se aaye ga sukhan mein ik kateela pun
Tumhaari aankh de de gi takhatub ko nasheela pun
Kaho ab kia irada hai

Mujhe izhaar kerna hai
K beytaabi ziada hai
Kaho....ab....kia kahoon....tum se....!!!!
Masoom Mohabbat ka bas itna Fasana hai
Kagaz ki Haweli hai aur Baarish ka Zamana hai
Kya shart-e-mohabbat hai, Kya shart-e-zamana hai
Awaaz bhi Zakhmi hai aur Geet bhi gaana hai
Uss paar utarne ki Umeed boht kam hai
Kashti bhi Puraani hai aur Toofaa ko bhi aana hai
Samjhe ya na samjhe wo Andaaz Mohabbat ke
Ek Shakhk ko Aankhon se Shair sunana hai
Bholi si Adaa koi phir Ishq ki zidd par hai
Phir Aag ka Darya hai aur Doob ke jana hai.
Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.


Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..


Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.

Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila hai