Saturday, March 31, 2007

woh waqt aur tha jub dil main teri chahat ki tamnna thi
abb tu to kaba bhi bane tu tujhe sajda na karon

Wednesday, March 28, 2007

kathayee aankhoon wali aik larki
aik hi baat per begarti hai

tum mujhe kyon nahi mile pehle
rooz yeh keh ker mujh se larti hai

laakh hoon hum me payar ki batein
yeh larai hamesha chalti hai

us ke aik dost se me jalta hoon
mere aik dost se woh jalti hai

pass a ke bhi faasle kyon ho
raaz kia hai samjh me yeh aya

us ko bhi yaad hai koi ab tak
me bhi tum ko bhula na paya
`````````````````````````````````````````````

khabhi yun bhi tu ho
yeh badal esa toot ke barse
mere dil ki tarah milne ko
tumhara dil bhi tarse
tum niklo ghar se

khabi yun bhi tu ho
tanhai ho, dil ho
bondein hoon, barsaat ho
or tum aoo
khabhi tu yun bhi ho!
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~``

Tuesday, March 27, 2007

Ab Lafz bhi apni Jubaan kho Baithe
Banaane jaoon to Baat aur Bigad Jati Hai.

Ik tu hi na mil saka warna
milnay walay bichar bichar ke milay

Na jaanay kyon wo loog utar jaatay hain dil mein
Jin logoon say qismat kay sitaray nahi miltay

main us ke milne se pehle kion ashaar ka ehtemam karoon
aam sa shakhs bhi use dekhe to shaayir ban jaaye

Ehsaas agar ho tu mohabbat karo mehsoos
Har baat ka izhaar zaroori nahi lab say

Issi baat ko to le kar,hum khudh ko tasalli dete hein ahmad
Ke akhir lafz-e-badua mein lafz, dua ka bhi to hai

app thehray hain aa k ankhon mai..........
neend se kehdo intezar karay.........

es sa zada zapat aur kya hoga
woh muj sa lipat kar roya kissi aur ke lia

youn zindagi guzar raha hoon tere beghair
jesay koi gunah kiye ja raha hoon main.

Yun to pyar karne waale tumhe kam na milengay,
Mil jaingay hum jaise bohot per hum na milengay.

aaja ke teray piyar ke waaday pe maut ko
tala hay aaj ham ne baRay ehtamam se..

hamara jurm bus itna hey,
hum muhabbat se kaam lete hein.

dekhe mere gunnah tu farishtey pukar uthe
kub tuk karen hisab bari deer ho gai

na jane kia tha in ankhon main main ne sir kham kar dia
warna dil tu woh sikandar tha jo kabhi hara na tha

teri soorat se hai aalam me baharon ko sabat
teri aankhon k siva dunya me rakha kya hai

na sameat sako gey jise tum qayamat tuk
qasam khuda ki tumhe itna piyar karte hain

hum jaan se jayenge tabhi baat banegi
tum se to koi raah nikaali nahi jaati

Monday, March 26, 2007

na thee hum main kashish itni kay tum ko yaad reh jate
nahi shikwa koi tum se hamare bhool jane ka

yeh yaad rahe kay zulm ki hud hoti hai
tum hum ko satao mager itna na satao

Ab Dil ko Intezaar ki Aadat si hogaee
Yeh haal kardiya hai, Terey intezaar nay

meri talab tha ik shakhs wo jo na mila to phir kia
hath dua se youn gira k bhool gaya sawal bhi.

youn hua kay us me takaluf se baat ki
aur hum ne roote roote dopate bhigo deye

yeh jub se khuwab dekha hai tum mujh ko chor jao ge
main abb darta hon khuwabon se main abb sone se darta hon

yon tu buhat zabt hai hum main lakin kia batlaien
aankh tuk aayen aanson tu peana mushkil hota hai

agar mohabbbat ka bad tareen anjam chahte ho to shadi kar lo
agar amar karna chahte ho tu juda ho gao

Ye Hawa Jab Aati Hai Yaad Uski Le Ker
Neend Urh Jati hai Na Jane Kahan Meri

Ek Aaas Hai Ab Bhi Meray Mann Mein
Koi Kehday... Ke Aj Se Wo Tera Ho Gaya

yun tu syed bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
tum sabhi kuch ho batao kay musliman bhi ho
mein khulay dar ke kisi ghar ka hon SAMMAA piyaray
TU dabay paaon kabhi aakay chura lay MUJH ko...!!!

Inkar ki si lazzat iqrar mein kahan hai
bertha hai shoq ghalib, un ki nahin nahin sey

Aye shakhs mein TERI justaju say
Bay-zaar nahi hun thak gaya hun...!!!

Yeh aur baat kay aaj ajnabi hoya lakin,
woh aik shaks jissay saloo say jantey they..

Ye rakh rakhao Muhabat sikha gai usko
Wo roth ker bhi mujy muskra ke milta hai

Mehroomiyoon ka or bhi ahsaas yun huva
Manga tha jo bhi teray siva Mujh ko mil gaya…!!!

ik yehi aaas he kaafi hai mery jeeny main
dil nahi aap dharaktey hain mery seeny main

woh mujhe chor kay jis kay saath chala gaya
barabri ka bhi hota tu sabar aa jata

apni garz se milte hain subhi yahan FARAZ
milne ka jub maza hai koi be sabab mile

yeh muhabbat kia rog hai FARAZ
jis ko bhole woh sada yaad aaya

Saturday, March 24, 2007

itni shiddat se to main ne bhi nahi chaha tha...
mujh se dekhi nahi jati hai muhabbat us ki.....

Ghamon nay baant liya hay mujhay yun aapas mein
Keh jaisay main koi loota huva khazana tha

wo aik bar bhi mujrim mujhe kahe to sahi
me apne aap ko her jurm ki saza doon ga

Nikal aate hain aansu Ronay se pahle...
Toot jaate hain sub khuwaab Sonay se pahle...
Kahte hain k pyar aik saza hai...
Kash koi rokta mujhe pyar hone se pahle

yaad aney ka sabab pooch rahey they muj se
or yaad aa aa k merey qatal ka saaman baney

kuch is tarah se merey sath bewafaee ker
ke terey bad mujey koee bewafa ne lagey,

aaj ki raat saaz-e-derd na chair
dukh se bharpoor din tamaam hoey

khwamakhwa chairti rehteen hain ye rukhsaron ko
tum ne zulfon ko bohat sar pe charrha rakha hai

DO CHAR LAFZ KEH KAR KHAMOOSH HO GIA MAIN
WO MUSKURA KAR BOLAY BOHAT BOLTAY HO TUM

ABHI AAEY HO, ABHI BAITHAY HO, ABHI JATAY HO
YOUN RASM NIBHANAY KO TO AAYA NA KARO

Khatam karna hi paray ga SONAY CHANDI ka rivaag
Varna har MUFLISS kay ghar mein BAITIYAN reh jain gi…!!!

ab os k zulm ka shikwa bhi kis zuban say karein,
ke intikhab to zalim ka khud humne kia"

ashuftgi say us ke us ko bura na jaan.....
aadat kee bat or hay dil ka bura nahen woh

nah dawa milay nah dua milay teray dil main dard hota karay
To jo mout ki karay aarzoo teri umar or daraz hoooooooo

hai oun see wafa ki umeed
jo nahi jante wafa kya hai

ya seena e insan main dill hi naheen shayad
ya dil he to phir dill ne dharakna naheen seekha

Neend bhari hai aankhon mein aur intezaar kerta hun
Dekh meri nazron mein tujhe kitna pyaar kerta hun...

ishq par zor chalta nahin ae dost
lag jaata hai yeh rog lagaya nahin jaata

yehi buhat hai qaim rahe wafa ka bharam
koi kisi ka hua bhi hai umar bhar k liye

Agara khoon ke rishtoon main wafa hoti
to yousaf na bikta misar ke bazaroo main.

yeh nahi kay sirf aankhen bujh gai
dil pe os ki meharbani aur hai

Is saadgi pe koon na mar jaye aye KHUDA
Lartay hain aur haath mein talwaar bhi nahi

Ek hi dunya mein rehtay hain, par mil nahi paatay
Aap say tu aap kay khawab achay hain,
jo aankh band kartay hi chalay aatay hain

Thursday, March 22, 2007

ll

ab to bas jaan hii denay kii hai baarii Anwar
mein kahan tak karoon saabit ke vafa hai mujh mein

woh mujh ko chhod gaya tu mujhay yakeen aaya
koi bhi shakhs zaroori nahi kisi ke liye

Uske hansnay main chupe dard ko to mehsoos kar
Woh to hans hans ke khud ko saza deti hai

tum apni majboorion ke qisay zaroor likhna wazaahton se
jo meri aankhon mein jal bujhi hein wo khwahishein bhi shumaar karna

tum ko khaber huwi na zaman samaj sakha..
ham chupkey chupkey tum pay kai bar margye

kis ne tum se keh dia us se mohabbat he mujhe?
mein to us ke sath hoon tum ko jalaane ke liye

tumhara israar sar ankhon par kay tum ko bhool janay ki
main koshish kar kay dekhoon ga magar waada nahi karta

Is Shart Pe Kheloongi Piya Pyar Ki Baazi
Jeetoon To Tujhe Paoon,Haroon To Piya Teri..

jab tak tumhari aankh mai mojood hoon to hoon
Tumne mujhe yahan se girana hai aur bas !!

ek chehre mai to mumkin nahi do chehray
kiss se karte jo koi ishq dobara karte

ik roz is tarah bhii mere bazoon me aa
mere adab ko terii hayaa kii Khabar na ho

jate hue kehte ho qayamt ko milenge
kia khoob qayamt ka hai goya koi din aur

is saadgi pe kon na mar jaye aye khuda
karte hain qatal hath main talwar bhi nahin

POochA kAy roOh NikAltEe hAi JiSm sAy kiS tArhAn
HAth uSsnAy mErAy hAthOon sAy chUrA kAy dEkhA dYa

hasrat hai ke in ko bhi hum nazdeek sey dekhain
nazdeek hoon to nigah uthai nahi jati...!!!!

meri is saadgi pe mar jao kissi din tum bhi
ke tum pe marta hoon main aur kuch nahin kehta

Aur kuch nahi mangta meray khaliq tujhse
Unki galiyon mai pari khaak bana dai mujhko

yaad ata hai mujhe wo Qaid_E_Azam ka zamna
Wo patli tangien wo chusat pajama

Meri talab tha aik shakhs woh jo na mila tu phir
haath dua se yoon gira bhoul gaya sawaal bhi

teri awaaz se jane chaunk jata hai kyun dil aise
kuch naa kuch to lagaao hai mera tujh se

Sunday, March 11, 2007

Din bhar khafa thi Mujh sey magar chaand raat ko
Mehndi sey Mera naam likha Uss ne haath par

mairi duaooN main taira wajood rehta hai
abb iss se berh k maira etraaf kia ho ga

jab talak door hai woh us ki parastish kar lain
hum jise choo na sakain us ko khuda kehte hain

MAIN BAS IK BAAR LAJAWAB HOA
KISI NE JAB KAHA KON HO TUM!

Kabhi yun bhi aa meri ankh main k meri nazar ko khabar na ho
Mujhey ek raat nawaaz dey magar uss ke baad sehar na ho

Wo bara raheem-o-kareem hai mujhey ye sifft bhi ataa karey
Tujhey bhoolney ki dua karon to meri dua main asar na ho

Jab Ankhein Beeghi Ho Jaayein Aur yaad Mein Meri Bhar Aayen
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro Lena

mai ik ansoo hi sahii hon bohat anmool magar
yun na ankhon say gira kar mujay mittii mai milaa

yeh husn, yeh adda,yeh nazakat,yeh bakhpan
sab khobiyaan tu hai tujhe mai magar bewafaa hai tu..

Hazar uss nay chaha kay bikhar jaaon main
So main naay sabar kia, sabar bhi qayamat ka.

Mut ker itna yaqin inn haathoon ki lakeeroon per,
Qismat unn ki bhi hoti hai jin kay haath nahi hotay

mohabbat ki tabiyat mein ajab aik bachpana qudrat ne rakha hai
k ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
ise taeed e taaza ki zaroorat phir bhi rehti hai

Woh' jinn ki khaatir, Hum ne saari sarhadein toreen
Unhi ne Aaj kaha hai ke apni " Had " mein raho

Ye wadhain wafaian ,ye khushian ye ansoon, tarap ye kasak!
Mohabbat ka mafhoom samajh ker to dekho

Main apni mohabbat ki sachaion ka yakeen dilaon to kaise?
Kabhi khuda se meri mohabat k bary main poch ker to dekho

Uss ki Ankhein Ghor Se Partha Rehta hoon
Shayed Koi Khawab Tou Mere Naam Ka Ho

Suno Larki? ..

?Abhi Tum Ishq Mat Karna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Satra Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain
?
Suno Larki? .....
~?Meri Mano?~
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likhna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi
?
Suno Larki? .....
?
~ Meri Mano?~

Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Guriya Se Khelo Tum


Hum woh siyah naseeb hain danish,kay shehar main
kholain dukan kafan ki to log marna hi chor dain

Har phool ki kismat mei kahan naaz-e-uroosaan !
kuch phool to khilte hi mazaroon k liye hain

Har Sham Hum Nashe Main Rehtay Hai Aur Sham Guzar Jati Hai.....
Ik Sham..Sham Nashey Main Hogi ,Aur Hum Guzar Jayengay

jab tuk bikay na they tu koi pochta na tha
tum ney khareed kar mujhay anmol kar diya

jurm main hum kami karen bhi to kiun
tum saza bhi to kam nahi kerty

Aceh khAsA bethA bethA gum ho jAtA hon
Ab mein AksAr mein nAhi rehtA tum hojAtA hon

meri khamoshi se hi usne mujhe parakh liya 'usman'
itni gehraiyon main apni mein khud na gaya tha

ik humain awaara kehna koi barha elzaam nahein ..
dunya walay dill walo ko aur bhi bohut kuch kehtay hain
ju baatain keh nahi sakta unhain mai farz kerta hoon ~
Challo mai farz kerta hoon mujhay tum say mohabbat hai

Kuch Door Humare Saath Chalo
Hum Dil Ki Kahaani Keh Deinge,
Samajhe na Jise Tum Aankhon Se
Woh Baat Zubaani Keh Deinge

jisse le gayi abhi hawa,wo wurq tha dil ki kitab ka
kahin anso'on se mita hoa,kahin anso'on se likha hoa

rothnay ki ada hum ko bhi aati hai mager ~
kash koi hota humain bhi mananay wala

us ko galaf-e-rooh main rakha senbhal ker
mohsin wo zakham bhi tu kissi aashna ka tha

Friday, March 09, 2007

Yehi Bohat hay K Dil Un Ko Dhond Laya Hay
Kisi K Saath SAhi Woh Nazar Tu Aya Hay

Yar ne dil ka haal batana chod diya,
Humne bhi gehrai mein jaana chod diya,
Jab usko hi doori ka ehsaas nahi,
Humne bhi ehsaas dilaana chod diya

yeh teri bhi ankhoun ka kasoor hai
main tanha gunahgar to nahi

janta Hon Mein B Ek A Say Shakhs Ko Munir
Gham Say Pathar Ho Gia Laykan Kabhi Roya Nahe
Aaj ashkon ka taar toot gaya
rishta-e-intazaar toot gaya
yuun vo thukra ke chal diye goya
ik khilauna tha pyar, toot gaya.


Nazar shanaaz tha kyaa kaam kar gaya woh bhi
ZabaaN ka dard tha baatoN se bhar gaya woh bhi

Apni Nazroon Se Jo Gir Jai Wo Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamha-e-Fursat Ka Khilona Na Bana
Saikroon Raastai Hain Ajnabi Ho Jaane K
Tark Karna Hai Taaluq Ka Bahana na Bana

is qadar sahe humne duniya ke gham
ke muskurane ki adat ho gayi

Ek shakhs Dilruba saa barson ke baad dekha
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa

woh tere naseeb ki barishain kisi or chat pe baras gayin
dil-e-be-khabar meri baat sun usay bhool ja usay bhool ja.

TU KATIBE TAQDIR SE ASRAR TO KRTA
SHAYAD WO TERE HATH PE LIKH DETA MERA NAAM

main tumhary hi dum sy zinda hon
mer hi jaon jo tum sy fursat ho

woh kaisey loog hain jinho ney paliya tujh ko
Hamey to hogaya dushwar ek insan ka milna

wo mila tu sadiyaoon kai bad meray lab pay koi gila na tha.
usay mari chup nai rula diya jisay guftagoo main kamal tha .

IS MAIN KOI SHIKWA NA SHIKAYAT NA GILA HAI
YEH BHI KOI KHAT HAI KE MUHABAT SE BHARA HAI

Apnay Honton say Koi MoHar Lagaow Mujh Per
Ik Nazar Pyaar say Dekho, Mujeh GhayaL Kerdo....

Yeh sach hai key nahi marta koi judai main
Khuda kisi ko magar kisi sey juda na karey

Hayee Wo Dard main DuBi Hoi Awaz LogOn ....
Harlamha Mujh Se Keheti thee BHula Mat dena ..

imaan mujhy roky hy to kheenchy hy mujhy kufr
ka'aba meray agay hy , kaleesa meray peechy

iflas ny bachhon ko bhi tehzeeb sikha di
sehmy hoay beathy hain sararat nai karty

Ansso hasi hasi main Nikal Aye KIun "FARAZ" ...
bethay Bithaye Kon Se Ghum Yaad Agaye ...

alfaaz mein na dhoond meri beqarariyan
aiy bekhaber zabaan nahi dil beqarar hai

Yeh khulay khulay say Gaisoo,inhain lakh tum sunwaro
meray hath say sanwartay tu kuch aur bat hoti

hum to mohabat main bhe tohed kay kayal hain faraz
bus ek shakhas ko apna mabood bana rakha hay

yeh qana'at hai ata'at hai k chahat hai Faraz
hum tu razi hain wo jis haal mai jaisa rakhay

Zindagi Main Koi Humdard Na Mila Tabish ...
Dil Ko Hasrat Hi rahi KOi Hamara Hota

kyoun na roun tujhse lipat kar aye kabar
jaan deke maine tujhe paya hai

Thursday, March 08, 2007

agar ehsaas ho tu kar lo mehsoos Mohaabat ko
Yah woh jaazba hai jo lafzon main samjhaya Nahi jata

Ab to ankhoun main samati nahi surat koi
gaur se kash tujhe maine dekha na hota

is aduwe jan ko amjad main bura kese kahoun
jab bhi aya samne woh bewfa acha laga

Najaane kaun sa aaseeb dil mein rehta hai
k jo bhi thehra,So aakhir makaan chor gaya

nadaan jawaani ka zamana guzar gaya
ab aagaya burrhapa, sudhar jaana chahiyey

yeh sila mila hay mujh ko tere dosti k pechey
k hazaro gum lagay hian mere zindagi k pechay
na tow dil ka koi maqsad na tow mere koi manzil
main chala ho q na janay kissi ajnabi k pechay

nahi nahi yeh khabar dushmanon ne de ho gi
wo aye , aa k chaly gaye , mily bhi nahi

abhi tu zid hai usay rasta badalnay ki
kabhi woh ro'ay ga khud meri chahaton k liay

ajab chiraagh hun din raat jalta rehta hun
mai thak gaya hun hawa say kaho bujhaye mujhe

ek kisi nay shadi ka jora pehn kar sirf choma tha merey kafan ko
bus us din say janat ki horain mujhey dolha banaye hoye hay

yeh faqt garoor ki baat hai k zaban se apni na tum kaho
tumhein werna yah khalish to hai k tumhari bazm main hum nahin

ajnabiun se dhoka khana phir bhi samajh main ata hai
uss k liyay kia kehte, woh shaks tou dekha bhala tha

AB TO KHAFA HAI KHUDA BHI MUJSE
JO IBADATH MEIN BHI TERA NAAM LETA HOON

itna kareeb tha ka becharna mohaal thaa
lekin wo eik rabtaey deed kar gaya
mar kar bhi os ko dekhtey rehanay ki chah main
aankhey kisi ko denay ki takeed kar gaya

nigah-e-qahar say dekha yehi ghaneemat hai
mujhe to aap say umeed is qadar bhi na thi

Inkaar main jo lazat hai, iqrar main kahan
barhta hai zauq-e-ghalib teri nahin nahin main

tum paas nahin ho to ajab hal hey dil ka
jaisey mein kuch rakh k kahin bhool gai hoon

adab ki baat hai 'munir' socho to
jo sakhs sun sakta hai bol bhi to sakta hai
Ek umar hui main to hansii bhul chukaa hoon
Tum ab bhi mere dil ko dukhana nahin bhuley

ye mu'jaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhay
ke sung tujh pe giray aur zakhm aaye mujhay

iss zindagi men itni faraghat kissey naseeb,
itna na yaad aa k tujhey bhul jayen hum

NA JANAY KON DUAON MEIN YAAD KARTA HAI
MAIN DOOBTA HOON SAMANDAR UCHAAL DETA HAI

eindhan hoon mein teri muskurahatoon ka
meray jalne se tujhey khushi milti hai

Yea log qissay sunatay hain apnay logon k
kahan talash karon , ab kahan say laon tujhay...

Yaaden teri bhi teray jaisi hain
Inko aata hai bus rula dena..

ik shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikr
kaash us zabaN daraaz ka muNh noch le koi!

Ya khuda log banaaye thay agar pathar kay
Meray ahsaas ko sheesha ka na banaya hota

Nahe nahe yea khabbar , dushmanon nay de hoge
Wo aay aa k challay bhe gaay millay bhe nahe

yun har roz us ka ruthna manzoor hay mujay
us se kaho mera sher na chore!

na ker nahi nahi yeh moka nahi, nahi ka
teri is nahi nahi ney nahi chora hamen kahin ka

ya Allah mujhey thori si zindagi dey dey
udaass merey janazay say ja raha hay koi

Wednesday, March 07, 2007

phir tere na ane ki khaber sham me ayee

phir tere na ane ki khaber sham me ayee
zehrab ki talkhi si mere jaam me ayee
aye kash na pura ho koi bhi mera armaan
yeh or tamanna, dil nakaam me ayee
kia kia na gazal us ki judai me kahi hia
barbadi-e-jaan bhi tu kisi kaam me ayee hai
.....................

Tuesday, March 06, 2007

amjad woh AANKHEIN jheel si gehree tou hain magar... ~
unn main koyee bhi aks mere naam ka nahin

Kabhi yun bhi aa meri ankh main k meri nazar ko khabar na ho
Mujhey ek raat nawaaz dey magar uss ke baad sehar na ho

Wo bara raheem-o-kareem hai mujhey ye sifft bhi ataa karey
Tujhey bhoolney ki dua karon to meri dua main asar na ho

jab tera hukm mila tark muhabat kar di
dil magar is pe woh dharka ke qayamat kar di
kis tarhain tujh se mein izhar-e-taman karti
lafz suja to mani ne baghawat kar di

Na janey kia hai kisi ki udass ankhon mai...
nazer chora ke bi guzrey tu baiwafa na lagey...

Meri Takmeel mei hissa hai tumhara bhi bahut !
mein agar tum se na milta to adhoora rehta !

Nigahain bolti hain baytahasha
muhabbat paglon ki guftagoo hai

husn to fani hai ab iski parastish kaisi
tum pay lazim hai mayri rooh k under daikho

Isi Liye Bhi Nahi Koi Therta ha Yahan
Loog Kehtay Hein Meray Dil Per Tera Saya Ha

Zamaney k alum sarey main hans k taal deta hon
tumhi ne kuch kaha hoga agar ankhon main pani hai
kash main tairee hanseen naak ka chooha huta
tu bari chah se baray maan se nikalti mujh ko
main teri unglyun main sharma kar chipak sa jata
phir tu apni sahliyun se chupati mujh ko
main un ko dekh kar dar sa jata
tu duniya se chupa kar kahin chipkati mujh ko
aur is tarah main AMAR hou jata
kash main tairee hanseen naak ka chooha huta
Husn waalon ko sanwarney ki zuroorat kya hai
Saadgi mein bhi Qayamat ki Ada hoti hai
Mein apni rooh ki poshak usay pehna doon
Bus shart yeh hai k woh tamaam mera ho

Ishq ki akhri hadoon mein hun ~
Raakh hun aur jal nahi sakta

Tamam shehr uss k janazay mein tha shareek...
Woh sahkhs jo tanhayiyoon k khauf se marr gaya...

Woh rabt-e-dosti jissey payeenda keh sakain...
miltee nahee yeh cheez magar mujh ko chahiyee...

dil bhi pagal hai ke uss shakhs se wabasta hai
jo kisi aur ka honay dai naa apna rakhay

kabhi kabhi k tasawwur say ji nhen bharta
mere khayal mein aao to bar bar aao

TUJH SAY HAT KAY MERI HASTI KIA HOGI ~
KHAK HOjAOUN GA MAIN TERAY JANY KAY BAAD

tu meray roothnay per is tarha mujh ko manati hay ~~~
Kabhi to bewajha tujh sa khaffaa honay ko jee chahe

hamien kehtay hoo ussay pojaa naa karoo
ussay kioun nahi kehtay kay dewtaa naa banay

Hai Wo Ikk Shakhs Zindagi Jesa ~ ~
Aur Woh Meri Zindagi Mein Nahi

Zehr daitai hein tou kehtey hein peena ho ga
jub pi laitay hein tou kehtey hein jeena ho ga

Monday, March 05, 2007

jeevan se bhari tere ank-hain;
majboor kareen jeenay kay liye

Kisi Nay Poocha Kay Bohat Haseen Ho Tum
To Muskura Kay Kaha Sab Jamal Dard Ka Hai

ro pary ga wo bhi khali kaghaz dekh ker
main ney us ko akhri khat main likha kuch bhi nahi

kitnay masoom hain tere shehar k qatil
katal kar k poochtay hain janaza hai kis ka

Main is khayal say aaj tak tujh say dil ki bat Na kah saka
Kay tu mairay gham say hay bekhabar kahin muskura kay Na Taal day


sharm , hairat , haya , pareshaani
naaz o tamkeen se kam kion nahi laiteen
app , wo , tum , ye sab kia ha
tum mera naam kioon nahi laiteen
Mujha KO acha nahi lagta koi hamnam tera
Koi tujh SA ho to naam bhi tujh SA rakhay
hum to dushman ko bhi nazak c saza daytay haan ...
haath tak nahi lagatay nazroooo may giraa daytay haaan.....
Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho,
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho !

Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa,
Pyaar kartay ho to phir pyaar chupatay kyon ho !

Ashq aankho mein meri dekh kay rotay kyon ho,
Dil bhar aaata hain to phir dil ko dukhatay kyon ho !

In say vaabasta hai jab mera muqaddar phir tum,
Meray shano say yeh zulf hatatay kyon ho !

Roz mar mar kay mujhay jeenay ko kehtay kyon ho,
Milnay aaatay ho to phir laut kay jaatay kyon ho !

Apnay haathon say yun chehray ko chupatay kyon ho,
Mujh say sharmatay ho to saamnay aatay kyon ho !
tum takhalus ko b akhlaas samajtay hoo faraz..!

Dost hoota nai har hath malanay wala...!
MANZILEIN
bhi us ki theen,
RAASTA
bhi us ka tha,
IK
main akela tha,
QAFILA
bhi us ka tha,
SAATH
saath chalne ki soch bhi us ki thi,
PHIR
rasta badalny ka faisla bhi uss ka tha,
AAJ
kyun akela hoon,
DIL
sawal karta ha,
LOG
to uss k thay,
KYA
"KHUDA" bhi us ka tha....?

ahmed faraz

Usko juda huwe bhi zamaana bohot huwa
Ab kya kahain ye kissa, puraana bohot huwa

Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
Ay marg-e-nagaahaan tera aana bohot huwa

Hum khuld se nikal to gaye hain par ay khuda
Itne se vaakiye ka fasaana bohot huwa

Ab hum hain aur saare zamaane ki dushmani
Usse zara rabt barhaana bohot huwa

Lo phir tere labon pe ussi bewafa ka zikr
ahmed "faraz" tujhse kaha na, bohot huwa
kaha tha na
mujhay tum iss tarha sotay huay mat chor k jana
mujhay baishak jaga dena
bata dena
zindagi k safar mei meray sath chal nahi sakhti
khuwaishon k safar mei meray sath chal nahi sakhti
tumhain rasta badalna hai
meri hadh se nikala hai
tumhain kis baat ka darr tha
tumhain janay nahi deta ?
kahin pe qaid ker leta ?
aray Pagli
Mohabbat ki haqeeqat mei zabardasti nahi hoti
jissay rasta badlna ho ..
ussay rasta badlnay se
jissay hadh se nikalna ho
usay hadh se nikalnay se
na koi rok paiya hai na koi rok paye ga
meray sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k lia kuch bhi nahi baki
magar khonay se darta hon
mei abb sonay se darta hon ..!!

k

socha nahi acha bura..,dekha suna kuch bhi nahi..,Manga khuda se raat din teray siwa kuch bhi nahi:., dekha tujhey, socha tujhey,chaha tujhey,pooja tujhey :Mayri khata ,teri wafa ,teri khata kuch bhi nahi....!!! jis per hamari ankh ne mooti bechaye raat bhar
bheja wohi kaghaz tumhein us pe likha kuch bhi nahi ..!!!
teray ishq ki inteha chahta hun...
meri saadgi dekh main kia chahta hun!