Thursday, February 23, 2006

Teri hum rakhs ke name

rakhs kerte hoye
jis ke shano per tu ne abhi sir rakha hai
khabhi me bhi is ke panahoon me thee
farakh yeh hia ke me
raat se kabal tanha hoyee
or tu subha tak
ab fareeb tahafuz me khoye rahe gee!!!!


(isnt that awesome....the true defination of MEN)

love you perveen shakir.

wehum

tumhara khena hia
tum mujeh bepanah shidat se chahite ho
tumhari chahat
weesal ki aakheri hadoon tak
mere faqat mere name hogi
mujhe yaqeen hai, mujeh yaqeen hai,
magar kasam khane wale larke!
tumhari aankhoon me aik til hai!


perveen shakir

woh aankhein kesi aankhein hian?

woh aankhein kesi aankhein hian
jise ab tum chaha kerte ho!
tum kehte they
meri aankhein, itni achi, itni sachi hian
is husan or sachai ke siwa, duniya me or koi cheez nahi
kiya un aankhoon ko dekh ker bhi tum
faiz ka misra parhte ho?


tum kehte they
meri aankhoon ki neelahat itni gehri hia
"meri ruoh agar aik baar uthar jaye tu is ke puur puur neelam ho jaye"
mujhe itna bataoo
ajj tumhari ruoh ka rang pehran kiya hia
kiya woh aankhien bhi samandar hain?


yeh kali bhori aankhein
jin ko dekh ker tum kehte they
"yun lagta hai sham ne raat ke hoonth pe hoonth rakhe hain"
kia un suraj doub ne ka lamha, un aankhoon me bhi thehar gaya
ya wahan faqat mehtab tarashte rehte hian?


meri palkein
jin ko dekh ker tum kehte they
in ki chaoon tumhare jisam pe apni shabnum pehla de
tu guzarte khawab ke musam loot ayein
kiya woh palkein bhi esi hian
jinhe dekh ker neend ajati hai?


tum kehte they
meri aankhein yunhi achi hain
"han kajal ki dunlai hoyee tehreer bhi ho........ tu
baat buhat dilkash hogi!"
woh aankhien bhi singhar tu kerti hongi?
kiya un ka kajal kudh hi mit jata hai?


khabhi yeh bhi howa
kisi lamhe tum se ruth ke woh aankhein ru dein
or tum ne apne haath se un ke aansoon kushk kiye
phir jhuk ker un ko choom liya
(kiya un ko bhi !!!)
perween shakir

Monday, February 20, 2006

pathetic but hilarious

ko ba ko phel gayee beti halwayee ki
us ne ladu ki tarah meri pazerayee ki

test tube baby howa hia meri khala ke yahan
baat tu sach hai magar baat hai ruswayee ki

woh kahein bhi gayee, luti tu mere pass ayee
bus yehi baat hai meri achi hamsayee ki

hoon me muslim magar, aik shuq ajab hai mujeh ko
larkiyan mujh ko pasand ati hian esayee ki

harnia tha mujhe gurda mera kat gaya kyon
galiyan deta hoon us ko me masheeayee ki.
uff these are the most pathetic ashar i have ever read......loose talk. :)

Tuesday, February 14, 2006

DECEMBER

Bheega bheega sa yeh december hai
bheegi bheegi si tanhayee hai
In kitaboon me jee nahi lagda
hum ko sagni ki yaad ayee hai
Bheega bheega sa december hai
Sham ki kali aankhein jab palkoon ko jhapkati hain
kisi pher ke neche kuch yaadein gungunati hian
kuch payar ke adhe nahgme adhi payar ki kahani
aik shehr ka raja or aik gaoon ki rani
dono bare premi they ban me gaya kerte they
un ke payar ke methey naghme panchi gaya kerte they
ab na premi hai na woh batein hian
or yaadein hi apni kamayee hia
Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si tanhayee hai
Is kamre ki khirki barish ka shoor sunati hai
or tumhari aahat humko yeh roog lagati hai
ab ke saal december me jab ban me me jaoon ga
neeli jheel darakhtoon saye or sukhe patte
sare tera pochein ge, kahan hai tera pochein ge
tera premi yaar kahan hai, sare tera pochein ge
kiay bataoon ga, kiya kahani hai
ab tu kismat me apni judai hai
In kitaboon me jee nahi lagda
hum ko sagni ki yaad ayee hai
Bheega bheega sa yeh december hai
Sham dhale jab panchi apne apne ghar jate hain
koi mujhe batlaye mujhe ko kyon yeh tarpate hain
mene bhi aik sapna dekha tha apne ghar ka
kho na jaye mera panchi laikin mujh ko dar tha
mera yeh apsana hai, sara yeh apsana hai
mera panchi rasta bhoola pagal hai deewana hai
woh gaya hai tu mene jana hai
mera dil ab bhi tera deewana hai
In kitaboon me jee nahi lagda
hum ko sagni ki yaad ayee hai
Bheega bheega sa yeh december hai
bheegi bheegi tanhayee hai