Thursday, February 23, 2006

woh aankhein kesi aankhein hian?

woh aankhein kesi aankhein hian
jise ab tum chaha kerte ho!
tum kehte they
meri aankhein, itni achi, itni sachi hian
is husan or sachai ke siwa, duniya me or koi cheez nahi
kiya un aankhoon ko dekh ker bhi tum
faiz ka misra parhte ho?


tum kehte they
meri aankhoon ki neelahat itni gehri hia
"meri ruoh agar aik baar uthar jaye tu is ke puur puur neelam ho jaye"
mujhe itna bataoo
ajj tumhari ruoh ka rang pehran kiya hia
kiya woh aankhien bhi samandar hain?


yeh kali bhori aankhein
jin ko dekh ker tum kehte they
"yun lagta hai sham ne raat ke hoonth pe hoonth rakhe hain"
kia un suraj doub ne ka lamha, un aankhoon me bhi thehar gaya
ya wahan faqat mehtab tarashte rehte hian?


meri palkein
jin ko dekh ker tum kehte they
in ki chaoon tumhare jisam pe apni shabnum pehla de
tu guzarte khawab ke musam loot ayein
kiya woh palkein bhi esi hian
jinhe dekh ker neend ajati hai?


tum kehte they
meri aankhein yunhi achi hain
"han kajal ki dunlai hoyee tehreer bhi ho........ tu
baat buhat dilkash hogi!"
woh aankhien bhi singhar tu kerti hongi?
kiya un ka kajal kudh hi mit jata hai?


khabhi yeh bhi howa
kisi lamhe tum se ruth ke woh aankhein ru dein
or tum ne apne haath se un ke aansoon kushk kiye
phir jhuk ker un ko choom liya
(kiya un ko bhi !!!)
perween shakir

No comments: