Monday, January 22, 2007

mujhe se pehli si muhabat mere mehboob

mujh se pehli si muhabat mere mehboob
mujh se pehli si muhabat mere mehboob na maang
mene samjha tha ke tu hia tu darakshan hia hayat
tera ghum hia tu ghum duhar ka jhagra kiya hai
teri surat se hai aalam me baharoon ko sabaat
teri aankhoon ke siwa duniya me rakha kiya hai?
tu jo mil jaye tu takdeer nagoon ho jaye
yun na tha,mene fakat chaha tha yun hojaye
or bhi dukh hian zamane me muhabat ke siwa
rahatein or bhi hain wesaal ki raahat ke siwa
un ghinat sadiyon ke tareekh behmane talism
resham wa atlas wa khamwab me banaye hoye
ja baja bikte hoye kocha wa bazar me jism
khak me lutre hoye khoon me nehlate hoye
lut jati hai udhar ko bhi nazar kiay kijeeye
ab bhi dilkash hian tera husan,magar kiya kijeeye
aur bhi dekh hian zamane me muhabat ke siwa
rahatein or bhi hian wesaal ki rahaat ke siwa
mujh se pehli si muhabat mere mehboob na maang



No comments: