Sunday, February 04, 2007

zindagi aaj meri jaan ki dushman bani hai,
mere khabon ki rani aaj kisi aur ki dulhan bani hai.

aisi zindgi se kya faayda maula,
le kyon nahi leta ye jaan jo chand saanso ki mehman bani hai.

kya kahun kitni mahir hai wo chehre badalne me,
kar ke khoon mere jazbaton ka dekho kitni nadaan bani hai.

socha na tha meri mout ka bhi faayda utha legi wo,
mere khoon ki mehndi aaj uske sajne ka saaman bani hai.

jise kahta tha main kabhi mohabbat ki devi,
wahi devi aaj mere liye haivaan bani hai.

humsafar tha main jiske liye kabhi,
hoke begane ki wo mujhse aaj anjaan bani hai.

kaash ki main tere sehre ka phool hota
to choom leta tere maathe ko ki tu aaj malikae paristan bani hai.

yoon to dono ne ghar badle hain aaj,
wahan tujhe mahal mile,yahan kabr hamara makaan bani hai

No comments: