Friday, May 04, 2007

TU RANGOON K INTEKHAB MAIN MASROOF HAI OR IDHER...
KOI TERY JANOON MAIN SIYAAH POOSH HO GAYA

usey faraz ager dukh na tha bicherrne ka
to kiun wo door talak dekhta raha mujh ko

Rahay Ga Saath Tera Pyaar Zindagi Ban key
Yeh aur Baat hai Meri Zindagi Wafa na Karay

tujhe bhoolna awal to dastaras main nahin
aur jo ikhtiyaar bhi hota to kya bhoola dete?

Jab itnii bewafaai par dil usko chaahta hai,
to yaa rab woh sitamgar baa wafaa hota to kya hota

Uff Yeh Yaadon Ka Tasalsul, Yeh Khayalon Ka Hajoom
Cheen Li Aap Ney Mujh Sey Meri Tanhaai Bhi

Ragon Mein Dorte Phirne Ke Hum Nahin Qayal
Jab Aankh Hi Se Na Tapka To Phir Lahu Kya Hai

poocha jo kisee nay bulbul say dard ka illaj ....
giree shakh e nazuk say tarpee tarap kay mar gaee

Meray KHUDA mujhe tabeer ki takat day day
MEin nay kisi shakhs ko khawab dekha rakhay hain

Bohut khubsurat hain aankhain tumhari
tum akhir khwaab kis k dekhte ho

hum un se bichur kar jeenay to lagey laikin
phir dil k dharak ne ki aawaz nahin ayee

Usss moor say shuru karain ab yeh ZINDAGI
Har shay bohat HASEEN thi HUM TUM thy AJNABI

uttha kay phool ki patti nazakat say masal dali
isharay say kaha hum dil ka youn haal kartay hain

woh din yaad kero jab mein thande hathon se tumhare gaal chua kerta tha...
tumhien meri ye shararat december mein yaad aye gi...!!

faryad kar rahi hai tarasti hoii nigah......
dekhy hue kisi ko bohat din guzar gay,,,,,,,,

No comments: