Wednesday, August 22, 2007

Ruth jane ki aadatein na gayein

ruth jane ki aadatein na gayein
dil jalane ki aadatein na gayein
zakham kha ker bhi tujh se name tera
gungunane ki aadatein na gayein
payar se jo bhi mil gaya us ko
dukh sunane ki aadatein na gayein
chand ki sharam se naqaboon me
mun chupane ki aadatein na gayein
do diloon ko ujaar ke hansna
yeh zamane ki aadatein na gayein
chand jesa har aik haseen chehra
didl ko bhane ki aadatein na gayein
beesiyon baar aazma ke hamein
aazmane ki aadatein na gayein
raat ke pechle pehar aye ayaz
ghar ko ane ki aadatein na gayein
Ayaz Ahmed..

No comments: