Sunday, April 22, 2007

hamein maut par yakeen hai par un par bhi aetbar hai ,
dekhte hain kaun aata hai pehle dono ka hi intzar hai

hum to samjhey they ek zakham hai bher jaiga
kya khaber thi rag -e- jan mein uter jaigaa

ham se to ik baar bhi jeeta he na jeete ga koi
wo to ham jaan ke kha lete hien maatein akser

Youn lagta hai jasay abhi loat aaye gaa
jaatay howay chiragh bujha kar nahin gaya

Mujh Ko Yeh Soch Hi Kafi Hai Rulane Kay Liye
Mein Na Hoti To Koi Aur Tumhari Hoti...

isse kismat kahoon k duniya faraz
jisse pyaar karo bewafa nikalta hai

gar bazi ishq ki bazi hai jo chaho laga do dar kaisa
gar jeet gaye to kia kehna hare b to bazi maat nahin

chehre badal badal k mujh se mil rahe hain logg
itnaa bura suloook meri saadgi k sath

kabhi jo yaad bhi ata hoon main to kehte hain
k aaj bazm main koi fitnaa o fasaad nahin

der se aaj mera sar hai tere zaanon par
ye vo rutba hai jo shaahon ko mila karta hai

muskuraa k daal diya rukh pe naqaab
mil gaya jo milna tha mujh ko jawab

Manga hi Nahin Tuj ko Kabhi Apnay KHUDA se
Is Qadar Umeed thi Muje Apni WAFA se

dil k zakhmoo koi shayriii kahe to parwaa nahin
dard to tab hota hai jab koi WAH WAH karta hai

DIL-O-NAZAR ki yeh halat gawahi daiti hai
wo mujh per phoonk raha hai koi amal ker k

Mein or usko bhooloon NASIR kaisi baatein kerte ho
Soorat to phir soorat hai wo naam bhi pyara lagta hai

too to alim hai samajhta hai kitabon ki zaban
mera chehra bhi kabhi perh mere halaat bata
bus hojae mujhe meri MOHABBAT hasil
too koi aisi DUA aisi MUNAJAAT bata

DIL MAIN KITNEY AAEHAAD BAANDHEY THEY BHULANEY KEY USEY
WO MILA TU SAAB EERADEY TOORNA AACHA LAGA

tujh ko dekha nahin teri tammannaa kii hai
tu gar koi khayaal hai to khayaal bara haseen hai

No comments: