Tuesday, April 03, 2007

Ye Sooch Sooch Kay Aksar Udaas Rehta Hun
Mein Kis Kay Pas Hun Kis Kay Pas Rehta hun

kitabain baich ker khaima khareeed ly majid
bhurapa kis tarah guzary ga naukry k baad

Is Tarha Sataya Hai Pareshan Kya Hai,
Goya Dosti Nahi Ahsan Kya Hai

Kis Ka haq Hai Tum Pe Yeh Tum Ko Bhi Nahi Pata,
Woh Joh Tumhien Chahata Hai Ya
Woh Joh Tumhien Apna Bana Chukha hai

Hay mezbaani ka ye takaza, kay aaye mehmaan to muskura do
Magar tabiyat ye chahti hay galay milo or gala daba do

Nahin Khel Aiy Daagh Yaro'n se kehdo
k aati hai Urdu zuba'n aatay aatay

woh musalmaan thi ALLAH se sharmati rahi
or bhagwan se gori ne sajan maang lia

main hoon ik mard bhi ,shaair bhi magar ik musalman bhi
muhabbat kar ke phir is ko nibhana meri aadat hai

wo mo'ojazat ki had tak pohonch gaya hai QATEEL
huroof koi bhi likhon usi ka ism baney

Terey jasi aakhon wale saahil per jab aatey han
Lehren shor machati han!Lo aaj samandar doob gaya!!

Yehi Kaafi hai ke baitha hai sar jhukaye huye
Mujhe ujaar ker woh shaks sharamsaar toa hai

Aap burhum hi sahi, Baat tou kar lein Hum sey
Kuch na kehney sey Mohabbat ka gumaa'n hota hai

par kuch tou baat hai teri fitrat mein zalim
warna Mein tujhe chahne ki khtaa bar bar nahi karta

No comments: