Thursday, December 14, 2006


gar mujhay iska yaqeen ho mairay humdam, mairay doost
gar mujhay iska yaqeen ho kay tairay dil ki thakan tairi aankhoon ki udasi,
tairay seenay ki jalan mairi dil joi, mairay pyar say mit jaiy gi
gar maira harf-e-tasal'li wo dawa ho jis say ji uthay phir taira ujra howa bay-noor dimagh
tairi paishani say dhul jain gai tazleel kay daagh tairi beemar jawani ko shaifa ho jaiy
gar mujhay iska yaqeen ho mairay humdam, mairay doost!
rooz-o-shub, sham-o-sahar main tujhay behlata rahoon main tujhay geet sunata rahoon halkay, sheereen, aabsharoon kay, baharoon kay, chamanzaroon kay geet aamd-e-subh kay, mehtaab kay, saiy'yaroon kay geet tujh say main husn-o-muhab'bat ki hakayaat kahoon kaisay maghroor haseenaoon kay barfaab say jism garm hathoon ki hararat main pighal jatay hain kaisay ik chehray kay thehray howay manoos naqoosh daikhtay daikhtay yeklakht badal jatay hain kis tarha aarz-e-mehboob ka shafaaf bilor yak ba yak baada-e-ehmar say dehak jata hai kaisay gulcheen kay liyay jhukti hai khud shakh-e-gulaab kis tarha raat ka aiwaan mehak jata hai yunhi gata rahoon, gata rahoon tairi khatir geet bunta rahoon, baitha rahoon tairi khatir par mairay geet tairay dukh ka mudawa hi nahi naghma jarrah nahi, moonas-o-gamkhaar sahi geet nashtar to nahi, marham-e-azaar sahi tairay azaar ka chara nahi, nashtar kay siwa aur yeh saf'fak maseeha mairay qabzay main nahi is jahan kay zeerooh kay qabzay main nahi haan magar tairay siwa, tairay siwa, tairay siwa!

No comments: