Sunday, December 24, 2006

yeh aalum shooq ka dekha na jaye
woh buut hai ya khuda dekha na jaye

yeh kin nazroon se tum ne ajj dekha
ke tera dekhna dekha na jaye

hamesha ke liye mujhe se bechar ja
yeh manzar barha dekha na jaye

galat hai jo suna, per aazma ker
tujhe aye bewafa, dekha na jaye

yeh mehroomi nahi pass-e-wafa hai
koi tere siwa dekha na jaye

yahein tu aashna bante hian aakhir
koi na aashna dekha na jaye

faraz apne siwa hia koun tera
tujhe tujh se juda dekha na jaye..

No comments: