Wednesday, December 13, 2006

Zindagi key melay mein
Khuwahishon key relay mein
Tum sey kia kaheibn janan
is qadar mein jahmeelay mein??

Waqt ki rawani hay
Bakht ki girani hay
Sakht bey zameeni hay
Zakht lamakani hay

Hijr key samndar mein
Takht or takhtay ki eik hi kahani hay
Tumko jo sunani hayBat go zara si hay
Bat Umar bhar ki hay
(umar bhar ki batain kab do ghari mein hoti hain???)

Dard key samndar mein
Un-ginat jazeray hain
Beyshumar moti hain…
Ankh key dareechay mein

jo tum ney sajaya tha
Baat us diya ki hay
Bat us gillay ki hay

Jo lahoo ki khalwat mein chor ban ker ata hay
Lafz ki faseelon per toot jata hay

Zindagi sey lambi hay
Baat ratjagay ki hay
Rastay mein kesay ho
Baat rat jagay ki hay

Takhliya ki batonmein guftugoo izafi hay
Pyar kernay walon ko ik nigah kafi hay
Ho sakay tu sun jao eik din akeelay mein
Tum sey kia kahein janan is qadar jhameelay mein!

No comments: