Wednesday, December 13, 2006

Mujhe raat gayay tak bahar rehnay par rokti rehti thee

Mujhe raat gayay tak bahar rehnay par rokti rehti thee

Main is ki batain sun kar hansi se uchaal deta tha

Kal jaldi aunga , yeh keh kar taal deta thaa

wo mujhay dekh kar muskura deti thee..or piyaar se chapat laga deti thee…

me usay bohat satata tha, isay bohat nakhray dikhata thaa

wo har baar meray naaz uthati thee…wo meray sadqay warii jati thee…

raat ko kisssi pehar bhii ghar jo ata

iss ko humaisha apna muntazir pata

din raat is k piyaar ki barsaat hoti thee

iss ki duaain hamesha meray sath hoti theen..

MAGAR AB…

zindagee me wo baat nahii

kiunkay ab wo meray paass nahii

iskay piyaar binaa dil ki zameen sookhi hay

ik wohi mukhliss thee, sari duniya rookhi hay

ghar me jab me lautoon wo nigahain dhoondata hoon

sama jaoon jin me, wo banhain dhoondata hoon

in jaghon ko dekhta hoon..jahan beth k wo mera intezaar kartee thee

me ghanton apna chehra dekhta hoon..jahan wo piyaar kartee thee

tairi dua k bagher sarkon pai nikal jata hoon

har qadam par rastay me thokar khata hoon…

MAAN too meray liay khudaaiiii soorat hay..

too laut aa mujhay teri zaroorat hay

main ghar jaldi laut aaunga

khuda ki kasam kabhi na sataoon ga

teri khidmat subah shaam karoon ga

jo kahai gii wo har kaam karoonga

meray kaan phir muntazir hain

ik baar phir wohi lori sona dai

ik arsaa hua me soya nahi

too apni god me mujhay sula dai

KASH KABHI AISI DUAIN NA MERTEEEN

KAASH KISI KI MAAAIN NA MERTEEEN

No comments: