Tuesday, March 06, 2007

Mein apni rooh ki poshak usay pehna doon
Bus shart yeh hai k woh tamaam mera ho

Ishq ki akhri hadoon mein hun ~
Raakh hun aur jal nahi sakta

Tamam shehr uss k janazay mein tha shareek...
Woh sahkhs jo tanhayiyoon k khauf se marr gaya...

Woh rabt-e-dosti jissey payeenda keh sakain...
miltee nahee yeh cheez magar mujh ko chahiyee...

dil bhi pagal hai ke uss shakhs se wabasta hai
jo kisi aur ka honay dai naa apna rakhay

kabhi kabhi k tasawwur say ji nhen bharta
mere khayal mein aao to bar bar aao

TUJH SAY HAT KAY MERI HASTI KIA HOGI ~
KHAK HOjAOUN GA MAIN TERAY JANY KAY BAAD

tu meray roothnay per is tarha mujh ko manati hay ~~~
Kabhi to bewajha tujh sa khaffaa honay ko jee chahe

hamien kehtay hoo ussay pojaa naa karoo
ussay kioun nahi kehtay kay dewtaa naa banay

Hai Wo Ikk Shakhs Zindagi Jesa ~ ~
Aur Woh Meri Zindagi Mein Nahi

Zehr daitai hein tou kehtey hein peena ho ga
jub pi laitay hein tou kehtey hein jeena ho ga

No comments: