Tuesday, March 27, 2007

Ab Lafz bhi apni Jubaan kho Baithe
Banaane jaoon to Baat aur Bigad Jati Hai.

Ik tu hi na mil saka warna
milnay walay bichar bichar ke milay

Na jaanay kyon wo loog utar jaatay hain dil mein
Jin logoon say qismat kay sitaray nahi miltay

main us ke milne se pehle kion ashaar ka ehtemam karoon
aam sa shakhs bhi use dekhe to shaayir ban jaaye

Ehsaas agar ho tu mohabbat karo mehsoos
Har baat ka izhaar zaroori nahi lab say

Issi baat ko to le kar,hum khudh ko tasalli dete hein ahmad
Ke akhir lafz-e-badua mein lafz, dua ka bhi to hai

app thehray hain aa k ankhon mai..........
neend se kehdo intezar karay.........

es sa zada zapat aur kya hoga
woh muj sa lipat kar roya kissi aur ke lia

youn zindagi guzar raha hoon tere beghair
jesay koi gunah kiye ja raha hoon main.

Yun to pyar karne waale tumhe kam na milengay,
Mil jaingay hum jaise bohot per hum na milengay.

aaja ke teray piyar ke waaday pe maut ko
tala hay aaj ham ne baRay ehtamam se..

hamara jurm bus itna hey,
hum muhabbat se kaam lete hein.

dekhe mere gunnah tu farishtey pukar uthe
kub tuk karen hisab bari deer ho gai

na jane kia tha in ankhon main main ne sir kham kar dia
warna dil tu woh sikandar tha jo kabhi hara na tha

teri soorat se hai aalam me baharon ko sabat
teri aankhon k siva dunya me rakha kya hai

na sameat sako gey jise tum qayamat tuk
qasam khuda ki tumhe itna piyar karte hain

hum jaan se jayenge tabhi baat banegi
tum se to koi raah nikaali nahi jaati

No comments: