Monday, March 05, 2007

jeevan se bhari tere ank-hain;
majboor kareen jeenay kay liye

Kisi Nay Poocha Kay Bohat Haseen Ho Tum
To Muskura Kay Kaha Sab Jamal Dard Ka Hai

ro pary ga wo bhi khali kaghaz dekh ker
main ney us ko akhri khat main likha kuch bhi nahi

kitnay masoom hain tere shehar k qatil
katal kar k poochtay hain janaza hai kis ka

Main is khayal say aaj tak tujh say dil ki bat Na kah saka
Kay tu mairay gham say hay bekhabar kahin muskura kay Na Taal day


sharm , hairat , haya , pareshaani
naaz o tamkeen se kam kion nahi laiteen
app , wo , tum , ye sab kia ha
tum mera naam kioon nahi laiteen

No comments: