Sunday, March 11, 2007

Din bhar khafa thi Mujh sey magar chaand raat ko
Mehndi sey Mera naam likha Uss ne haath par

mairi duaooN main taira wajood rehta hai
abb iss se berh k maira etraaf kia ho ga

jab talak door hai woh us ki parastish kar lain
hum jise choo na sakain us ko khuda kehte hain

MAIN BAS IK BAAR LAJAWAB HOA
KISI NE JAB KAHA KON HO TUM!

Kabhi yun bhi aa meri ankh main k meri nazar ko khabar na ho
Mujhey ek raat nawaaz dey magar uss ke baad sehar na ho

Wo bara raheem-o-kareem hai mujhey ye sifft bhi ataa karey
Tujhey bhoolney ki dua karon to meri dua main asar na ho

Jab Ankhein Beeghi Ho Jaayein Aur yaad Mein Meri Bhar Aayen
Phir Khud Ko Dhoka Mat Dena Aur Chupke Chupke Ro Lena

mai ik ansoo hi sahii hon bohat anmool magar
yun na ankhon say gira kar mujay mittii mai milaa

yeh husn, yeh adda,yeh nazakat,yeh bakhpan
sab khobiyaan tu hai tujhe mai magar bewafaa hai tu..

Hazar uss nay chaha kay bikhar jaaon main
So main naay sabar kia, sabar bhi qayamat ka.

Mut ker itna yaqin inn haathoon ki lakeeroon per,
Qismat unn ki bhi hoti hai jin kay haath nahi hotay

mohabbat ki tabiyat mein ajab aik bachpana qudrat ne rakha hai
k ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
ise taeed e taaza ki zaroorat phir bhi rehti hai

Woh' jinn ki khaatir, Hum ne saari sarhadein toreen
Unhi ne Aaj kaha hai ke apni " Had " mein raho

Ye wadhain wafaian ,ye khushian ye ansoon, tarap ye kasak!
Mohabbat ka mafhoom samajh ker to dekho

Main apni mohabbat ki sachaion ka yakeen dilaon to kaise?
Kabhi khuda se meri mohabat k bary main poch ker to dekho

Uss ki Ankhein Ghor Se Partha Rehta hoon
Shayed Koi Khawab Tou Mere Naam Ka Ho

Suno Larki? ..

?Abhi Tum Ishq Mat Karna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Satra Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain
?
Suno Larki? .....
~?Meri Mano?~
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likhna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi
?
Suno Larki? .....
?
~ Meri Mano?~

Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Guriya Se Khelo Tum


Hum woh siyah naseeb hain danish,kay shehar main
kholain dukan kafan ki to log marna hi chor dain

Har phool ki kismat mei kahan naaz-e-uroosaan !
kuch phool to khilte hi mazaroon k liye hain

Har Sham Hum Nashe Main Rehtay Hai Aur Sham Guzar Jati Hai.....
Ik Sham..Sham Nashey Main Hogi ,Aur Hum Guzar Jayengay

jab tuk bikay na they tu koi pochta na tha
tum ney khareed kar mujhay anmol kar diya

jurm main hum kami karen bhi to kiun
tum saza bhi to kam nahi kerty

Aceh khAsA bethA bethA gum ho jAtA hon
Ab mein AksAr mein nAhi rehtA tum hojAtA hon

meri khamoshi se hi usne mujhe parakh liya 'usman'
itni gehraiyon main apni mein khud na gaya tha

ik humain awaara kehna koi barha elzaam nahein ..
dunya walay dill walo ko aur bhi bohut kuch kehtay hain

No comments: