Tuesday, March 06, 2007

amjad woh AANKHEIN jheel si gehree tou hain magar... ~
unn main koyee bhi aks mere naam ka nahin

Kabhi yun bhi aa meri ankh main k meri nazar ko khabar na ho
Mujhey ek raat nawaaz dey magar uss ke baad sehar na ho

Wo bara raheem-o-kareem hai mujhey ye sifft bhi ataa karey
Tujhey bhoolney ki dua karon to meri dua main asar na ho

jab tera hukm mila tark muhabat kar di
dil magar is pe woh dharka ke qayamat kar di
kis tarhain tujh se mein izhar-e-taman karti
lafz suja to mani ne baghawat kar di

Na janey kia hai kisi ki udass ankhon mai...
nazer chora ke bi guzrey tu baiwafa na lagey...

Meri Takmeel mei hissa hai tumhara bhi bahut !
mein agar tum se na milta to adhoora rehta !

Nigahain bolti hain baytahasha
muhabbat paglon ki guftagoo hai

husn to fani hai ab iski parastish kaisi
tum pay lazim hai mayri rooh k under daikho

Isi Liye Bhi Nahi Koi Therta ha Yahan
Loog Kehtay Hein Meray Dil Per Tera Saya Ha

Zamaney k alum sarey main hans k taal deta hon
tumhi ne kuch kaha hoga agar ankhon main pani hai

No comments: