Thursday, March 08, 2007

Ek umar hui main to hansii bhul chukaa hoon
Tum ab bhi mere dil ko dukhana nahin bhuley

ye mu'jaza bhi muhabbat kabhi dikhaye mujhay
ke sung tujh pe giray aur zakhm aaye mujhay

iss zindagi men itni faraghat kissey naseeb,
itna na yaad aa k tujhey bhul jayen hum

NA JANAY KON DUAON MEIN YAAD KARTA HAI
MAIN DOOBTA HOON SAMANDAR UCHAAL DETA HAI

eindhan hoon mein teri muskurahatoon ka
meray jalne se tujhey khushi milti hai

Yea log qissay sunatay hain apnay logon k
kahan talash karon , ab kahan say laon tujhay...

Yaaden teri bhi teray jaisi hain
Inko aata hai bus rula dena..

ik shakhs kar raha hai abhi tak wafa ka zikr
kaash us zabaN daraaz ka muNh noch le koi!

Ya khuda log banaaye thay agar pathar kay
Meray ahsaas ko sheesha ka na banaya hota

Nahe nahe yea khabbar , dushmanon nay de hoge
Wo aay aa k challay bhe gaay millay bhe nahe

yun har roz us ka ruthna manzoor hay mujay
us se kaho mera sher na chore!

na ker nahi nahi yeh moka nahi, nahi ka
teri is nahi nahi ney nahi chora hamen kahin ka

ya Allah mujhey thori si zindagi dey dey
udaass merey janazay say ja raha hay koi

No comments: