Thursday, March 08, 2007

agar ehsaas ho tu kar lo mehsoos Mohaabat ko
Yah woh jaazba hai jo lafzon main samjhaya Nahi jata

Ab to ankhoun main samati nahi surat koi
gaur se kash tujhe maine dekha na hota

is aduwe jan ko amjad main bura kese kahoun
jab bhi aya samne woh bewfa acha laga

Najaane kaun sa aaseeb dil mein rehta hai
k jo bhi thehra,So aakhir makaan chor gaya

nadaan jawaani ka zamana guzar gaya
ab aagaya burrhapa, sudhar jaana chahiyey

yeh sila mila hay mujh ko tere dosti k pechey
k hazaro gum lagay hian mere zindagi k pechay
na tow dil ka koi maqsad na tow mere koi manzil
main chala ho q na janay kissi ajnabi k pechay

nahi nahi yeh khabar dushmanon ne de ho gi
wo aye , aa k chaly gaye , mily bhi nahi

abhi tu zid hai usay rasta badalnay ki
kabhi woh ro'ay ga khud meri chahaton k liay

ajab chiraagh hun din raat jalta rehta hun
mai thak gaya hun hawa say kaho bujhaye mujhe

ek kisi nay shadi ka jora pehn kar sirf choma tha merey kafan ko
bus us din say janat ki horain mujhey dolha banaye hoye hay

yeh faqt garoor ki baat hai k zaban se apni na tum kaho
tumhein werna yah khalish to hai k tumhari bazm main hum nahin

ajnabiun se dhoka khana phir bhi samajh main ata hai
uss k liyay kia kehte, woh shaks tou dekha bhala tha

AB TO KHAFA HAI KHUDA BHI MUJSE
JO IBADATH MEIN BHI TERA NAAM LETA HOON

itna kareeb tha ka becharna mohaal thaa
lekin wo eik rabtaey deed kar gaya
mar kar bhi os ko dekhtey rehanay ki chah main
aankhey kisi ko denay ki takeed kar gaya

nigah-e-qahar say dekha yehi ghaneemat hai
mujhe to aap say umeed is qadar bhi na thi

Inkaar main jo lazat hai, iqrar main kahan
barhta hai zauq-e-ghalib teri nahin nahin main

tum paas nahin ho to ajab hal hey dil ka
jaisey mein kuch rakh k kahin bhool gai hoon

adab ki baat hai 'munir' socho to
jo sakhs sun sakta hai bol bhi to sakta hai

No comments: