Thursday, March 22, 2007

ll

ab to bas jaan hii denay kii hai baarii Anwar
mein kahan tak karoon saabit ke vafa hai mujh mein

woh mujh ko chhod gaya tu mujhay yakeen aaya
koi bhi shakhs zaroori nahi kisi ke liye

Uske hansnay main chupe dard ko to mehsoos kar
Woh to hans hans ke khud ko saza deti hai

tum apni majboorion ke qisay zaroor likhna wazaahton se
jo meri aankhon mein jal bujhi hein wo khwahishein bhi shumaar karna

tum ko khaber huwi na zaman samaj sakha..
ham chupkey chupkey tum pay kai bar margye

kis ne tum se keh dia us se mohabbat he mujhe?
mein to us ke sath hoon tum ko jalaane ke liye

tumhara israar sar ankhon par kay tum ko bhool janay ki
main koshish kar kay dekhoon ga magar waada nahi karta

Is Shart Pe Kheloongi Piya Pyar Ki Baazi
Jeetoon To Tujhe Paoon,Haroon To Piya Teri..

jab tak tumhari aankh mai mojood hoon to hoon
Tumne mujhe yahan se girana hai aur bas !!

ek chehre mai to mumkin nahi do chehray
kiss se karte jo koi ishq dobara karte

ik roz is tarah bhii mere bazoon me aa
mere adab ko terii hayaa kii Khabar na ho

jate hue kehte ho qayamt ko milenge
kia khoob qayamt ka hai goya koi din aur

is saadgi pe kon na mar jaye aye khuda
karte hain qatal hath main talwar bhi nahin

POochA kAy roOh NikAltEe hAi JiSm sAy kiS tArhAn
HAth uSsnAy mErAy hAthOon sAy chUrA kAy dEkhA dYa

hasrat hai ke in ko bhi hum nazdeek sey dekhain
nazdeek hoon to nigah uthai nahi jati...!!!!

meri is saadgi pe mar jao kissi din tum bhi
ke tum pe marta hoon main aur kuch nahin kehta

Aur kuch nahi mangta meray khaliq tujhse
Unki galiyon mai pari khaak bana dai mujhko

yaad ata hai mujhe wo Qaid_E_Azam ka zamna
Wo patli tangien wo chusat pajama

Meri talab tha aik shakhs woh jo na mila tu phir
haath dua se yoon gira bhoul gaya sawaal bhi

teri awaaz se jane chaunk jata hai kyun dil aise
kuch naa kuch to lagaao hai mera tujh se

No comments: