Saturday, March 24, 2007

itni shiddat se to main ne bhi nahi chaha tha...
mujh se dekhi nahi jati hai muhabbat us ki.....

Ghamon nay baant liya hay mujhay yun aapas mein
Keh jaisay main koi loota huva khazana tha

wo aik bar bhi mujrim mujhe kahe to sahi
me apne aap ko her jurm ki saza doon ga

Nikal aate hain aansu Ronay se pahle...
Toot jaate hain sub khuwaab Sonay se pahle...
Kahte hain k pyar aik saza hai...
Kash koi rokta mujhe pyar hone se pahle

yaad aney ka sabab pooch rahey they muj se
or yaad aa aa k merey qatal ka saaman baney

kuch is tarah se merey sath bewafaee ker
ke terey bad mujey koee bewafa ne lagey,

aaj ki raat saaz-e-derd na chair
dukh se bharpoor din tamaam hoey

khwamakhwa chairti rehteen hain ye rukhsaron ko
tum ne zulfon ko bohat sar pe charrha rakha hai

DO CHAR LAFZ KEH KAR KHAMOOSH HO GIA MAIN
WO MUSKURA KAR BOLAY BOHAT BOLTAY HO TUM

ABHI AAEY HO, ABHI BAITHAY HO, ABHI JATAY HO
YOUN RASM NIBHANAY KO TO AAYA NA KARO

Khatam karna hi paray ga SONAY CHANDI ka rivaag
Varna har MUFLISS kay ghar mein BAITIYAN reh jain gi…!!!

ab os k zulm ka shikwa bhi kis zuban say karein,
ke intikhab to zalim ka khud humne kia"

ashuftgi say us ke us ko bura na jaan.....
aadat kee bat or hay dil ka bura nahen woh

nah dawa milay nah dua milay teray dil main dard hota karay
To jo mout ki karay aarzoo teri umar or daraz hoooooooo

hai oun see wafa ki umeed
jo nahi jante wafa kya hai

ya seena e insan main dill hi naheen shayad
ya dil he to phir dill ne dharakna naheen seekha

Neend bhari hai aankhon mein aur intezaar kerta hun
Dekh meri nazron mein tujhe kitna pyaar kerta hun...

ishq par zor chalta nahin ae dost
lag jaata hai yeh rog lagaya nahin jaata

yehi buhat hai qaim rahe wafa ka bharam
koi kisi ka hua bhi hai umar bhar k liye

Agara khoon ke rishtoon main wafa hoti
to yousaf na bikta misar ke bazaroo main.

yeh nahi kay sirf aankhen bujh gai
dil pe os ki meharbani aur hai

Is saadgi pe koon na mar jaye aye KHUDA
Lartay hain aur haath mein talwaar bhi nahi

Ek hi dunya mein rehtay hain, par mil nahi paatay
Aap say tu aap kay khawab achay hain,
jo aankh band kartay hi chalay aatay hain

No comments: