Friday, March 09, 2007

Aaj ashkon ka taar toot gaya
rishta-e-intazaar toot gaya
yuun vo thukra ke chal diye goya
ik khilauna tha pyar, toot gaya.


Nazar shanaaz tha kyaa kaam kar gaya woh bhi
ZabaaN ka dard tha baatoN se bhar gaya woh bhi

Apni Nazroon Se Jo Gir Jai Wo Chehra Na Bana
Mujh Ko Lamha-e-Fursat Ka Khilona Na Bana
Saikroon Raastai Hain Ajnabi Ho Jaane K
Tark Karna Hai Taaluq Ka Bahana na Bana

is qadar sahe humne duniya ke gham
ke muskurane ki adat ho gayi

Ek shakhs Dilruba saa barson ke baad dekha
Ab zehen mein naheen hai , per naam tha bhala saa

woh tere naseeb ki barishain kisi or chat pe baras gayin
dil-e-be-khabar meri baat sun usay bhool ja usay bhool ja.

TU KATIBE TAQDIR SE ASRAR TO KRTA
SHAYAD WO TERE HATH PE LIKH DETA MERA NAAM

main tumhary hi dum sy zinda hon
mer hi jaon jo tum sy fursat ho

woh kaisey loog hain jinho ney paliya tujh ko
Hamey to hogaya dushwar ek insan ka milna

wo mila tu sadiyaoon kai bad meray lab pay koi gila na tha.
usay mari chup nai rula diya jisay guftagoo main kamal tha .

IS MAIN KOI SHIKWA NA SHIKAYAT NA GILA HAI
YEH BHI KOI KHAT HAI KE MUHABAT SE BHARA HAI

Apnay Honton say Koi MoHar Lagaow Mujh Per
Ik Nazar Pyaar say Dekho, Mujeh GhayaL Kerdo....

Yeh sach hai key nahi marta koi judai main
Khuda kisi ko magar kisi sey juda na karey

Hayee Wo Dard main DuBi Hoi Awaz LogOn ....
Harlamha Mujh Se Keheti thee BHula Mat dena ..

imaan mujhy roky hy to kheenchy hy mujhy kufr
ka'aba meray agay hy , kaleesa meray peechy

iflas ny bachhon ko bhi tehzeeb sikha di
sehmy hoay beathy hain sararat nai karty

Ansso hasi hasi main Nikal Aye KIun "FARAZ" ...
bethay Bithaye Kon Se Ghum Yaad Agaye ...

alfaaz mein na dhoond meri beqarariyan
aiy bekhaber zabaan nahi dil beqarar hai

Yeh khulay khulay say Gaisoo,inhain lakh tum sunwaro
meray hath say sanwartay tu kuch aur bat hoti

hum to mohabat main bhe tohed kay kayal hain faraz
bus ek shakhas ko apna mabood bana rakha hay

yeh qana'at hai ata'at hai k chahat hai Faraz
hum tu razi hain wo jis haal mai jaisa rakhay

Zindagi Main Koi Humdard Na Mila Tabish ...
Dil Ko Hasrat Hi rahi KOi Hamara Hota

kyoun na roun tujhse lipat kar aye kabar
jaan deke maine tujhe paya hai

No comments: